"Aapas mai kar rahe they sitamgar ye mashwara, Sarwar ko marna hai to Akbar ko maar do" New Noha 2026 | Janab e Ali Akbar New Noha | Sarwar Ko Marna Hai To Akbar Ko Mar Do | Mesum Abbas Noha | Muharram 2026 Nohay 2026 Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar do Lyrics - Dushman ko bhi maloom tha Sarwar ka jahan hai… Hum shakl-e-Payambar hai ye Shabbir ki jaan hai Aapas mein kar rahe the sitamgar ye mashwara Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar do Marna hai is jawan ka marna Hussain ka Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar do Kaante pare hain pyaas se iski zabaan par Lekin taras na khaiyo Sarwar ki jaan par Peechhe se chhup ke waar karo is jawan par Hoga ye waar Muttalabi khandan par Bach kar na jaane paaye ye tasveer-e-Mustafa.. Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar do Aage barho Rasool ki kheti ujaad do Naiza jawan laal ke seene mein gaar do Zahra ke aur Ali ke kaleje ko phaad do Jaldi karo Hussain ki saansein ukhaar do Mar jaayenge Hussain agar ye juda hua.. Sarwar ko maarna...