Skip to main content

ABBAS PANI LAO LYRICS

ABBAS PANI LAO | Dr Amir Rizvi | Nohay 2026 | 1448 | Mola Abbas Noha

ABBAS PANI LAO LYRICS -

Zainab Ye Roke Boli Bhaiya Na Dil Dukhao
kya der ka sabab hai ye to hame batao
mashkeeza bhar ke jaldi darya se laut aao
bachi ki tashnagi ko tum aake khud bujhao
abbas abbas abbas pani lao

wo ghamzada yakeenan yaadon may kho gayi hai
baba ko rote rote khud thak ke sogayi hai
ya tashnalab sakina behosh ho gayi hai
pani ka deke cheenta tum hi usay jagao
abbas abbas abbas pani lao

haton may khaali kuze bache liye hue hai
girde sakina dekho halqa kiye hue hai
bache na jaane kab ka pani piye hue hai
bin aab mar na jaaye pani unhe pilao
abbas abbas abbas pani lao

is bekasi pe haaye aata hai mujko rona
purhaul hai andhera aur khaak ka bichona
seene pe soni wali kya jaane aise sona
pyasi hai mustarib hai aakar usay sulao
abbas abbas abbas pani lao

kano may al-atash ki awaaz aa rahi hai
aur uspe fauje aada ye zulm dha rahi hai
unko dikha dikha kar pani baha raha hai
bache hai sheh ke pyase aada ko ye batao
abbas abbas abbas pani lao

ulfat ki aag dil may payham lagi hui hai
rouza tumhara dekhe ye hasrate dili hai
zaair bane tumhara ye khahishe zaki hai
aankhon ki tashnagi ko tum hi isay bujhao
abbas abbas abbas pani lao

जैनब ये रोके बोली भाई ना दिल दुखाओ
क्या डर का सबब है ये तो हमें बताओ
मशकीज़ा भर के जल्दी दरिया से लौट आओ
बच्ची की तश्नगी को तुम आके खुद बुझाओ
अब्बास अब्बास अब्बास पानी लाओ

वो गमज़ादा यकीनन यादें शायद खो गयी है
बाबा को रोते रोते खुद थक के सोगई है
या तश्नलब सकीना बेहोश हो गई है
पानी का देके चिंता तुम ही उसे जगाओ
अब्बास अब्बास अब्बास पानी लाओ

हटन मई खाली कुज़े बच्चे के लिए हुए हैं
गिरदे सकीना देखो हल्का किये हुए हैं
बचे ना जाने कब का पानी पिए हुए है
बिन आब मर न जाए पानी उनको पिलाओ
अब्बास अब्बास अब्बास पानी लाओ

इस बेकसी पे हाए आता है मुझको रोना
पुरहौल है अँधेरा और खाक का बिछोना
सीने पे सोनी वाली क्या जाने ऐसा सोना
प्यासी है मुस्तरिब है आकार उसे सुलाओ
अब्बास अब्बास अब्बास पानी लाओ

कानो मई अल-अताश की आवाज़ आ रही है
और उसपे फौजे आदा ये जुल्म ढा रही है
उनको दिखा दिखा कर पानी बह रहा है
बचे हैं शेह के प्यासे अदा को ये बताओ
अब्बास अब्बास अब्बास पानी लाओ

उल्फत की आग दिल मय पैहम लगी हुई है
रौज़ा तुम्हारा देखे ये हसरते दिल है
ज़ैर बने तुम्हारा ये ख़्वाहिश ज़की है
आँखों की तश्नगी को तुम ही इसे बुझाओ
अब्बास अब्बास अब्बास पानी लाओ


Comments

Popular posts from this blog

15+ Darood Sharif

  Related Post: 72-sayings-of-sayyiduna-ali Book - Hindi, Roman Urdu, English irshadaat-e-imam-ahmad-raza नमाज़े नबवी (Namaz e Nabvi) PDF BOOK 21+ Darood Sharif Hindi Mein 22-40 Taqwa Kya Hai? - What Is Piety? By Adv Zuhaib Hafeez I am Palestine Lyrics ( Main Palestine Hun ) Palestine new Track 2021 Ali Di Shadi Ae Shadi Khana Abadi Ae Lyrics - Shadi Mola Ali A.S - New Qasida 2021 (وَرَفَعْنَالَکَ ذِکْرَکْ) Warafana Laka Zikrak | Teri Khushbu Meri Chadar Karim Karam Naat Lyrics Huzoor Meri to Sari Bahar Heart Touching Naat Lyrics Unki Chokhat Ho To Kasa Bhi Para Sajta Hai Naat Lyrics Eid Kar Layna Naat Lyrics 2021 ( پھر تمہیں حق ہے عید کر لینا ) EID AGAI EID AGAI MUBARAK EID MUBARAK NAAT LYRICS यतीम किसे कहते हैं ?  Zikr E Qalbi Karne Ke Bad Kaifiyat Kya Hoti Hai?!!! Makhdoom Zamane Da Imran Da Jaya Ae Lyrics Qasida Mola Ali New Qasida 2021 Zikr E Jahr Ka Tarika Aur Zikr E Jahr Ki Mehfil Ke Liye Hadees E Mubarka

Best naat Khwaab e Ghaflat mein soye hue momino lyrics

Best naat Khwaab e Ghaflat mein soye hue momino lyrics Khwaab e Ghaflat mein soye hue momino Aish o Ishrat badhane se kya fayeda Aankh kholo aur yaad Rabb ko karo Umar yuu hi gawaane se kya fayeda Apne rabb ko jawaani mein bhoola hai tu Aur taaqat ke boote pe phoola hai tu Jab jawani dhalegi to pachtaayega Aise rone rulaane se kya fayeda Aankh kholo aur yaad Rabb ko karo Umar yuu hi gawaane se kya fayeda Tha Hukuumat ka Firoun ko bhi nasha Zulm par Zulm wo Khalqat kartafaayeda Jab Samunder mein Dooba to kehne laga Is Hukuumat ke paane se kya fayeda Aankh kholo aur yaad Rabb ko karo Umar yuu hi gawaane se kya fayeda Kitna Ma' aroof qissa hai Shaddaad ka Rooh jab uske Tan se nikaali ga Marta Marta wo logo se kehta gaya Aisi Jannat banaane se kya fayeda Aankh kholo aur yaad Rabb ko karo Umar yuu hi gawaane se kya fayeda Maaldaari mein mash' hoor Qaaroon tha Wo mukhaalif tha Moosa wa Haaroon ka Jab Zamee mein dhasaya to kehne laga Aise bejaa kh...

Noha Lyrics Saqqa e Haram Rakh Lena Bharam Lyrics Munajat Mola Abbas Noha Lyrics

  KALAM - L Y R I C S  SAQAA E HARAM, RAKH LENA BHARAM HUM DAR PE TUMHAARE AAYE HAIN ABBAS ABBAS YA ABAL FADHLIL ABBAS TUM BHI NAHI HUMKO THUKRANA, HUM DUNYA KE THUKRAAE HAIN 1.AB SAARE SAHARE TOOT CHUKE – HUME APNE PARAYE LOOT CHUKE TUM APNI PANAHO ME LELO HUM GHAM SE BOHOT GHABRAAYE HAIN 2.ASHKON KI ZUBAA(N) PEHNCHANTE HO – JO DIL ME HAI WHO JAANTE HO HUM KEH NAHI SAKTE TUM SUNLO BAS HAATHON KO PHELAAYE HAIN 3.HAR SOONI GODI KHIL JAAYE – HAR BETI KO RISHTA MILJAAE UN CHEHRO(N) KO RONAQ DEDO JO GHAM KE SABAB MURJHAAE HAIN 4.MOLA TUM BAAB E HAWAAIJ HO – ROZE PE UNHE BHI BULWALO GHURBAT KE SABAB JO AA NA SAKE HUM UNKE AREEZE LAAYE HAIN 5.KHA KHA KE TAMACHE ROTI HAI – ZINDA KI KHAAK PE SOTI HAI BUJH JAAYE PYAAS SAKINA HUM AANKH AANSU LAAYE 6.DARBAAR SAKHI ABBAS KA THA – KUCH MAANGNA THA LAZIM MAANGA LEKIN YEH HAQEEQAT BHI HAI QAMAR HUM PURSA DENE AAYE HAI सका ए हराम, रख लेना भरम हम दर पे तुम्हारे आये हैं अब्बास अब्बास या अबल फदलील अब्बास तुम भी नहीं हमको ठुकराना, हम दुनि...