Header Notification

Best naat - Khwaab e Ghaflat mein soye hue momino lyrics

Khwaab e Ghaflat mein soye hue momino,
Aish o Ishrat badhane se kya fayeda.

Best naat - Khwaab e Ghaflat mein soye hue momino lyrics

Aankh kholo aur yaad Rabb ko karo,
Umar yuu hi gawaane se kya fayeda.

Apne rabb ko jawaani mein bhoola hai tu,
Aur taaqat ke boote pe phoola hai tu. (x2)

Jab jawani dhalegi to pachtaayega,
Aise rone rulaane se kya fayeda.

Aankh kholo aur yaad Rabb ko karo,
Umar yuu hi gawaane se kya fayeda.

Tha Hukuumat ka Firoun ko bhi nasha,
Zulm par Zulm wo Khalqat kartafaayeda. (x2)

Jab Samunder mein Dooba to kehne laga,
Is Hukuumat ke paane se kya fayeda.

Aankh kholo aur yaad Rabb ko karo,
Umar yuu hi gawaane se kya fayeda.

Kitna Ma' aroof qissa hai Shaddaad ka,
Rooh jab uske Tan se nikaali ga. (x2)

Marta Marta wo logo se kehta gaya,
Aisi Jannat banaane se kya fayeda.

Aankh kholo aur yaad Rabb ko karo,
Umar yuu hi gawaane se kya fayeda.

Maaldaari mein mash' hoor Qaaroon tha,
Wo mukhaalif tha Moosa wa Haaroon ka.

Jab Zamee mein dhasaya to kehne laga,
Aise bejaa khazaane se kya fayeda. (x2)

Aankh kholo aur yaad Rabb ko karo,
Umar yuu hi gawaane se kya fayeda.

Qaabile zikr Qissa hai namrood ka,
Wo bhi inkaar karta tha ma'Abood ka.

Uske bheje ko machchhar ne khaa kar kaha,
Yu badaai jataane se kya faayeda.

Apni shohrat pe 'mohsin' yuu na machal,
Aik din aa dabochegi tujhko ajal.

Rooh ko saaf kar nek a'Amaal kar,
Jism e zaahir banaane se kya fayeda.

Aankh kholo aur yaad Rabb ko karo,
Umar yuu hi gawaane se kya fayeda.

Khwaab e Ghaflat mein soye hue momino,
Aish o Ishrat badhane se kya fayeda.......

Post a Comment

27 Comments

  1. Who is the author of this naat / poetry?

    ReplyDelete
    Replies
    1. It was written by Dr. Allama Iqbal Sahab in 1904.

      Delete
    2. Qari Ehsan Mohsin is the writer of this nazm, not Allama Iqbal R.A

      Delete
  2. Don't think it is by Allama iqbal

    ReplyDelete
  3. Ofcourse, it's written by allama iqbaal

    ReplyDelete
    Replies
    1. The lyricst of this Ghazal is some Mohsin as mentioned in the "maqta" of the Ghazal.....

      Delete
  4. Bahut bahtreen naat hai masha Allah

    ReplyDelete
  5. Kulyat e iqbal ke kis page pe he ye shair

    ReplyDelete
  6. Its not a naat. Naat is something in which prophet Muhammad pbuh is praised.

    ReplyDelete
  7. Words of qari ahsaan mohsin as is obvious from the poem itself in the last verses

    ReplyDelete
  8. May Allah reward him for His great service to Islam

    ReplyDelete
  9. Not at all by Allama,please!

    ReplyDelete
  10. Author and voice js qari Mohsin sahab from india and he is blind .zazak Allah

    ReplyDelete
  11. Author and voice js qari Mohsin sahab from india and he is blind .zazak Allah

    ReplyDelete
  12. https://www.youtube.com/watch?v=ub33E6Phfd8

    ReplyDelete