Posts

Showing posts from April, 2026

Akeli Hai Zehra Lyrics New Noha 2019 Best Noha

Image
Kahan jaaye aakhir bayabaan har soo shikasta hai pehloo akeli hai Zehra ( x3 ) Rone pe pehra masayab ka sehra akeli hai Zehra ( x2 ) Dar e Fatema ko jalaya hai tumne kiya waada apna bhulaya hai tumne ( x2 ) Tamaache na maaro musalmaano jaao Ali ko bulaao akeli hai Zehra Rone pe pehra masayab ka sehra akeli hai Zehra( x2 ) Bayaan kisse jaakar karoon dard apna hai ghairon ko duniya nahi koi apna ( x2 ) koi jaake baba se keh do ye jaakar ke le jaao aakar akeli hai Zehra Rone pe pehra masayab ka sehra akeli hai Zehra ( x2 ) Shahe karbala ne kaha roke maan se ye mazloom bete ne mazloom maan se akela hoon main bhi akeli hain Zainab akele hain baba akeli hain Zehra Rone pe pehra masayab ka sehra akeli hai Zehra Sare marg Akhtar tha Zehra ka nauha kab aaoge Mahdi kab aaoge beta ( x2 ) Khuda ke liye ab ye parda hata do Chale aao aao akeli hai Zehra Rone pe pehra masayab ka sehra akeli hai Zehra.. कहाँ जाए आख़िर बयाबाँ हर सू शिकस्त है पहलू अकेली है ज़हरा (x3) रोने पे पहरा मसायब का सेहरा अकेली...

कोई यतीम न हो - Koi Yateem Na Ho Noha Lyrics Best noha

Image
Koi Yateem Na Ho Noha Roman Lyrics 1. meri tarah mere baba ,koi yateem na ho     hui hai jai se sakina, koi yateem na ho 2. yateem ho ke yatimi ka dard samjha hai     ye gham saha nahi jata ,koi yatim na ho 3. suna tha log yatimon se pyar karte hain      main bad nasib hun baba,koi yatim na ho 4. koi to sar pa muhabbat se hath rakh deta     koi to deta dilaasa, koi yateem na ho 5. mujhe yatimi ka ehsaas yeh dilaata hai     mera fata hua kurta,koi yateem na ho 6. zameen pe neend bhi aye to kis trha aye     chhuta hai baap ka seena, koi yateem na ho 7. laeen ne kano se khechi hen baliyan meri     lahoo luhaan hai chehra, koi yateem na ho 8. juda na ho kabhi irfan baap, beti se     uthe na baap ka saya, koi yateem na ho कोई यतीम न हो Koi Yateem Na Ho Noha Hindi Lyrics 1. मेरी तरह मेरे बाबा, कोई यतीम न हो      हुई है जय से सकीना, कोई यतीम ना हो  2. यतीम हो के यतिमी का दर्द समझौता है ...

Tum Se Pyar Kartey Hain Maula Hussain / तुम से प्यार करते हैं मौला हुसैन

Image
तुम से प्यार करते हैं मौला हुसैन लिरिक्स तुम से प्यार करते हैं मौला हुसैन गीत के बोल Tum Se Pyar Kartey Hain Maula Hussain Lyrics| Shahid Baltistani | A Soulful Tribute to the Oppressed 2026 Lyrics: --------- Tum Se Pyar Kartey Hain Maula Hussain a.s Inna Ma‘Iya Rabbi Tanhaiyan, Mehroomiyan Koi Nahi Saath To Kya Hua? Umeed Ka Chaand Badli Mein Hai Tareek Hai Raat To Kya Hua? Tum Se Pyar Kartey Hain Maula Hussain a.s Khaak O Khoon Mein Jo Khushboo Hai Barood Ki Maut Hai Asal Mein Naar o Namrood Ki Tum Ne Insaniyat Ko Jhanjhora Hai Yun Khauf Ke Buth Ko Ashkon Se Tora Hai Yun Aaj Ki Raat Se, Subh-E Mahshar Talak, Tum Ho Kaafi Faqat Roshni Ke Liye… Tum Se Pyar Kartey Hain Maula Hussain a.s  Karbala Walay Rastey Pe Chalte Hue Rizq Par Apne Maula Ke Palte Hue Dars-E Insaniyat Ka Sikhate Rahe Rukh Se Zalim Ke Parda Hatate Rahe Tum Ne Sabit Kiya Maktab-E Karbala Sirf Hai Ishq Ki Aagahi Ke Liye Tum Se Pyar Kartey Hain Maula Hussain a.s Ghupp Andhere Mein Khoon Se Jala Kar Diya Tum Ne Paig...