Tum Se Pyar Kartey Hain Maula Hussain / तुम से प्यार करते हैं मौला हुसैन

तुम से प्यार करते हैं मौला हुसैन लिरिक्स

तुम से प्यार करते हैं मौला हुसैन गीत के बोल

Tum Se Pyar Kartey Hain Maula Hussain Lyrics| Shahid Baltistani | A Soulful Tribute to the Oppressed 2026


Lyrics:
---------
Tum Se Pyar Kartey Hain Maula Hussain a.s

Inna Ma‘Iya Rabbi

Tanhaiyan, Mehroomiyan
Koi Nahi Saath To Kya Hua?
Umeed Ka Chaand Badli Mein Hai
Tareek Hai Raat To Kya Hua?

Tum Se Pyar Kartey Hain Maula Hussain a.s

Khaak O Khoon Mein Jo Khushboo Hai Barood Ki
Maut Hai Asal Mein Naar o Namrood Ki
Tum Ne Insaniyat Ko Jhanjhora Hai Yun
Khauf Ke Buth Ko Ashkon Se Tora Hai Yun
Aaj Ki Raat Se,
Subh-E Mahshar Talak,
Tum Ho Kaafi Faqat Roshni Ke Liye…

Tum Se Pyar Kartey Hain Maula Hussain a.s 

Karbala Walay Rastey Pe Chalte Hue
Rizq Par Apne Maula Ke Palte Hue
Dars-E Insaniyat Ka Sikhate Rahe
Rukh Se Zalim Ke Parda Hatate Rahe
Tum Ne Sabit Kiya Maktab-E Karbala
Sirf Hai Ishq Ki Aagahi Ke Liye

Tum Se Pyar Kartey Hain Maula Hussain a.s

Ghupp Andhere Mein Khoon Se Jala Kar Diya
Tum Ne Paigham Saare Jahan Ko Diya
Raah-E Haq Mein Mile To Khushi Maut Hai
Daimi Zindagi Bas Yahi Maut Hai
Noor Ka Rasta
Tum Ne Dikhla Diya
Apne Darvesh Ko Aashiqi Ke Liye

Tum Se Pyar Kartey Hain Maula Hussain a.s

Woh Marjaiyat, Riyasat Aur Muashray Ke Tamaam Tawazun Qaim Karta Raha, Magar Tanha Tha.
Magar Aakhir Kar Us Ne Apne Pakeeza Lahu Ko Apne Dard-E Dil Ka Gawah Bana Kar Poori Insaniyat Ko Hussainiyat Tak Pohcha Diya. Aur Kyun? Kyun Ke Dard-E Dil Ka Koi Mazhab Nahi Hota, Dard-E Dil Ki Koi Zaban Nahi Hoti, Dard-E Dil Ki Koi Saqafat Nahi Hoti. Mujhe Is Majmay Mein Sirf Shia Nahi, Sunni Bhai Bhi Nazar Aa Rahe Hain, Esaai Bhi Nazar Aa Rahe Hain, Hindu Bhi Nazar Aa Rahe Hain; Yeh Is Baat Ki Gawahi Hai Ke Woh Kal Tanha Tha, 
Aaj Woh Tanha Nahi Hai.

Tum Se Pyar Kartey Hain Maula Hussain a.s

Comments

Popular posts from this blog

15+ Darood Sharif

Noha Lyrics Saqqa e Haram Rakh Lena Bharam Lyrics Munajat Mola Abbas Noha Lyrics

Best naat Khwaab e Ghaflat mein soye hue momino lyrics