Bekas Pe Rone Waalon Ka Hadiya Qubool Ho Ya Fatima Hussain Ka Pursa Qubool Ho Ya Fatima Zehra, Ya Fatima Zahra Saf e Gham Bicha Kar Ye Maangi Dua, Bibi Qubool Kare, Bibi Qubool Karain Ye Majlis Ye Matam Ye Ashke Aza, Bibi Qabool Karen Bibi Qubool Karain Gham e Sheh mai sab kuch lutaate rahe, Gharibi mai thi ghum manaate rahe Hain aise bhi tangdast ahle aza, Tabarruk mai paani pilaate rahe Tabarruk jo baanta to bus ye kaha… Bichaya hai jab ghar me farsh e aza, sajaya azakhana Shabbir ka Alam nasb karte huay meri maa, Bahaati thi aankhon se ashk e aza Aur uske labon par thi bus ek dua… Salamat rahen pur mahan matami, Qamazan ye zanjeerzan matami Kabhi khaak uraate hain rote huay, Ye kehte hain khooni badan matami Lahu ka ye pursa jo hum ne diya.. Ye hai ishqe Shabbir ki ek daleel, Sajayen alam ya banayen sabeel Sabeelon pe likh kar Sakina ka naam, Aqeedat ko karte hain apnø wakeel Pilaate hain paani ye karke dua… Ye soz o salam aur ye marsiya, Ye seena zani aur aaho buka Masay...