Header Notification

Choote na kabhi tera daaman Naat Lyrics


 Choote na kabhi tera daaman

Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Hai tum pe fida sab tan mann dann

Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Ajmer mujhe pohochaade Khuda

Chaadar mai charaahu phoolo ki

Yeh sadqa karu tan mann apna

Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Farzande Ali ho Noor e Nabi

Mehboob e Khuda hain zaat teri

Ek baar dikha Rauza Apna

Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Kaaba ho Madina ho ya Najaf

Har sampt nazar tum aate ho

Kuch aisi lagi hai tum se lagan

Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Post a Comment

0 Comments