al mustafa wal murtuza wabna huma wal Fatima
Haal duniya ka dekh kar paiham
Sab ko ab fikr hai moharram ki
Haal duniya ka dekh kar paiham
Sab ko ab fikr hai moharram ki
Kaise hoga Hussain ka matam
Sab ko ab fikr hai moharram ki
1) Farshe Majlis bichayenge kaise
Shanashi ko sajaenge kaise
Soch kar ho rahi hai ankhe'n nam
Sab ko ab fikr hai moharram ki
2)Ghum ali ka mana nahi paaye
Unka taboot utha nahi paaye
Bhool paaye na aaj tak ye ghum
Sab ko ab fikr hai moharram ki
3)Waqt kis ke liye teher ta hai
Ye hawa ki tarha guzar ta hai
Zinadadi ki huwi hai lo maddham
Sab ko ab fikr hai moharram ki
4)Eid aayi guzar gayi laikin
Dil ko sadmo se bhar gayi laikin
Bhul jaayenge phir bhi sab ye ghum
Sab ko ab fikr hai moharram ki
5)Uska ghum aur bhi do bala hai
Jis ke ghar me imam baada hai
Kaise rakkhe ga taziya o Alam
Sab ko ab fikr hai moharram ki
6)Maahe ghum hai tulu hu hone ko
Ham to paida huwe hain rone ko
Dil ke zakhmo,n ka hai yahi marham
Sab ko ab fikr hai moharram ki
7)Dekh kar shanashi ko roti hai
Maa meri bar bar kehti hai
Kaise bacche uthayenge parcham
Sab ko ab fikr hai moharram
8)Ghar me aayengi Fatima zehra
Kaise unko dikhayengi chehra
Aye khuda rakh le meri maa ka bharam
Sab ko ab fikr hai moharram ki
9)Yaa Ilahi unhen shifa dede
Jo bhi bimaar hai corona se
In wabaon ka zor kar de kam
Sab ko ab fikr hai moharram ki
10)"Aamir" ab Door Ho mahamari
Phir se "aini" ho ye azadari
Aaye khuda karde apna khaas karam
Sab ko ab fikr hai moharram ki
Le Khamsatun ut fi bi haa har ar wabayel hatemaa
al mustafa wal murtuza wabna huma wal Fathima
0 Comments