Aur Nabi ki aankhein bhar bhar aati hain
1-Hooro ne ye fakhr hai paaya
Zehra ko dulhan jo banaya
Milkar phir doli me bithaaya
Haider ke ghar tak pahuchaaya
Istaqbaal ko aayat e Quraa’n aati hain
2-Inse se hai pehchaane nabuwat
Gode me inki khele imaamat
Inke gehne izzo sharafat
Deene nabi par inki inaayat
Itne sharaf shehzadiye jannat paati hain
3-Kaise bayaa ho azmat inki
Rab ke hai Mehboob Ki beti
Chhote ghar me kaise rehti
Jaisa ghar sasural bhi waisi
Jannat me thi Jannat me hi jaati hain
4-Rukhsat Ka ye bhi tha manzar
Zehra baithi thi Shehbaa par
Jisko chale salman the lekar
Peeche hamza aur paighambar
Hath me inke shamsheere lehraati hain
5-Dar pe khadi wazzuha hai inke
Ghar me pali kulkafa hai inke
Sath chali innama hai inke
Chaar taraf hal ataa hai inke
Aayatein aakar inka dil behlaati hain
6-Chaadar maqnaa takiye charkhaa
Chakki chatayi kooze kaasa
Lota Ghada aur oonee parda
Khaal oont Ki mashk wa joda
Bus ye jahez khaatoone jannat laati hain
7-Goonji farishto Ki ye sadayein
Hum bhi sharaf maabood ye paayein
Zehra Ki shaadi me jaayein
Takbeero se bazm sajaayein
Awaaze takbeer Ki laakho aati hain
8-Aqd hua Zehra ka falak par
Kuch aise maqsoos the zevar
Rab ne kiye zehra pe nichhawar
Le gaye jinko malak utthaakar
Hoore bhi zehra ka sadqa khaati hai
9-Khaanaye Rab Haider ka maskan
Zehra ka ghar Nabi ka aangan
Jaisa dulha waisi dulhan
Fizza inke dil Ki dhadkan
Khidmat ko jo khadema Bankar jaati hain
10-Chehro par raunaq hai jila hai
mehfil me bhi joshe wila hai
Dil ka chaman Ahmed ka khilaa hai
Haider sa damaad milaa hai
Dil hi dil me banke dulhan sharmaati hain
11-Rukhsat Ki ye dhoom rahi
Arz Hasi’n jo Ghoom rahi hai
Haider ka Dar chhoom rahi hai
Saif e Ali bhi jhoom rahi hai
Naghmaye rukhsat saari fazaye gaati hain
Fatima Zehra rukhsat hokar jaati hain.
0 Comments