Header Notification

Manqabat Bibi Fatima Zahra 2024 | Ayatein | Mukhtar Hussain Fatehpuri Lyrics New Manqabat | Bibi Fatima

 

Manqabat Bibi Fatima Zahra 2024 | Ayatein | Mukhtar Hussain Fatehpuri | New Manqabat | Bibi Fatima

Video Details:
Manqabat Title: ★Ayatein★
Recited By | Mukhtar Hussain Fatehpuri
Poetry By | Janab Hasnain Akbar
Composition By | Janab Waheed ul Hasan Kamalvi
Coordination | Syed Ali Haider Jafri
Special Thanks | Izhar Hussain Fatehpuri
Creatives | Minhaj Ahmed
Audio | Lawa Studio Karachi
Video | Focus Studio - Safdar Kaleem
Chorus | Rizwan Mirza & Team
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

● ● MANQABAT LYRICS ● ● 

Raziya marziya maalka
Syeda tahira fatima (sa)
Syeda tahira fatima (sa)

Tazeem fatima (sa) ki samhajti hain ayatein
Uthtay hain jab rasool tou uthti hain ayatein

Tazeem fatima (sa) ki samhajti hain ayatein
Tazeem fatima (sa) ki samhajti hain ayatein

Rakhtay hain ikhtiyar ye zehra (sa) ke ladlay
Gesun sawar dein tou sawarti hain ayatein

Tazeem fatima (sa) ki samhajti hain ayatein
Tazeem fatima (sa) ki samhajti hain ayatein

Wo aur ghar hain jin pe ke badal barastay hain
Ye ghar ali (as) ka hai sou barasti hain ayatein

Tazeem fatima (sa) ki samhajti hain ayatein
Tazeem fatima (sa) ki samhajti hain ayatein

Fizza (sa) ye faiz e rizk e ali (as) O batool (sa) hai
Teri zaban se ko nikalti hain ayatein

Tazeem fatima (sa) ki samhajti hain ayatein
Tazeem fatima (sa) ki samhajti hain ayatein

Thamay hue hain zainab (sa) O kulsoom (sa) maa ke hath
Quran ke saharay pe chalti hain ayatein

Tazeem fatima (sa) ki samhajti hain ayatein
Tazeem fatima (sa) ki samhajti hain ayatein

Sehen e abu turab (as) hai binte rasool (saww) hain
Naqsh e qadam jo bantay hain banti hain ayatein

Tazeem fatima (sa) ki samhajti hain ayatein
Tazeem fatima (sa) ki samhajti hain ayatein

Zehra (sa) ke ghar se loh pe hoti hain muntaqil
Phir loh se zamee’n pe utarti hain ayatein

Tazeem fatima (sa) ki samhajti hain ayatein
Tazeem fatima (sa) ki samhajti hain ayatein

Wo teen roz rotiyan aur surah dehar ka
Zehra (sa) tumharay rizk pe palti hain ayatein

Tazeem fatima (sa) ki samhajti hain ayatein
Tazeem fatima (sa) ki samhajti hain ayatein

Hum ayatein sunayein tou akbar jawab mein
Tasbeeh e binte mustafa (sa) parhti hain ayatein

Tazeem fatima (sa) ki samhajti hain ayatein
Tazeem fatima (sa) ki samhajti hain ayatein

Raziya marziya maalka
Syeda tahira fatima (sa)
Syeda tahira fatima (sa)

- Janab Hasnain Akbar -

Post a Comment

0 Comments