New Manqabat | Hussain (a.s) Aaye | حسینؑ آۓ | Mir Mazhar Abbas | 2022-1443
Husain aye khushiyan manane ka din hai
Azadaron ke muskurane ka din hai
Dare shahe din par chalo misle fitrus
Khoda se khata baksh wane ka din hai
Pisar shaahe meraj ka agaya h
Falak ko zami par bichane ka din hai
Khuda mujhko bhi lahne daood de de
Nabi ko qaseeda sunane ka din h
Padho manqabat shaahe karbobala ki
Munafiq ke dil ko jalane ka dil hai
Ye h roze ashoor zanjeer Maro
Mukammal lahu men nahane ka din ha
Hai tashnalabe karbala aj aya
Ye rukh ansuon se sajane ka din hai
Khuda se jo chaho talab kr lo akar
Ye bigda muqaddar banane ka din hai
Hilal aur mazhar karo zikre sarwar
Sukhan ki ye meraj pane ka din h
Comments
Post a Comment