New Manqabat | Aap Ka Charcha 𝗛𝗨𝗦𝗦𝗔𝗜𝗡 (a.s) | آپ کا چرچا حسینؑ | Mir Rehan Abbas | 2022-1443
Aye shehenshahe jaha'n Aaqa mere mola Hussain a.s
Ta abad hota rahega Aapka charcha Hussain a.s
1. Sarware Alam hai nana aur padar shere khuda
Zainabe Aali behan ,bhai janabe Mujtaba
Sayeda ka ladla hai sayede wala Hussain a.s
2. Mas huwa jhule se tere milgaye fitros ko par
Milgaye Raheb ko bete hogaya abaad ghar
Tere sadqe mai bana Hurr layake charcha Hussain a.s
3. Rabbe kaaba ne diya hai tujhko aisa martaba
Iftekhaare aadmiyath ban gaya rutba tera
Khaa raha hai saara alam bus tera sadqa Hussain a.s
4. Bhujte bhujte hogaya roshan shariyath ka diya
Milgaya tera lahu toh bach gaya deene khuda
Jiske ehsaan hai khuda par toh hai woh banda Hussain a.s
6. Tu ne jiss tegho ke saaye mai kiya shukre khuda
Dekh kar tera tehemmil O sabr bhi kehne laga
Fouj kya hai, zulm tere saamne haara Hussain a.s
7. Sher pahuncha nehr par angdaayi li qabza kiya
Phir bhara chullu mai pani aur yeh kehne laga
Mit gaya duniya se jisne tujhko lalkara Hussain a.s
8. Dekhle woh aa ke jisne aapko pyasa rakha
Humne pani ki sabeele nasb kar ke ja ba ja
Nehr kya daryaa O ko taqseem kardaala Hussain a.s
9. Keh rahe hai uth ke Yasir haath maatam daar ke
Kis ki himmat hai ke takraaye ghulamo se tere
Kaun rokega bhala matam tera mola Hussain a.s
Comments
Post a Comment