Hasnain ke kandhon pe hai haider(as) ka janaza
Kohram hai barpa×2
Bahta hua har aankh se hai ashk ka dariya
Kohram hai barpa
1.kahti thin yahi zainab(s.a) o kulsoom(sa) tadap kar viran hua ghar
Viran hua ghar
Gham kaise sahe haye tadapta hua kunba
Kohram hai barpa
2.rota hai har ik peero jawan rota hai alam
Kuch aisa hai ye gham
Ye dekh k tharrati hai khud masjid e kufa
Kohram hai barpa
3.kufe k har ek ghar se sada aati hai paiham
Ab kaise jiyen ham
Jata hai janaze me yatimo ka sahara
Kohram hai barpa
4.ro ro ke bura haal hai abbas e jari ka
Haye re naseeba
Kis tarah sahen ahle haram dil pe ye sadma
Kohram hai barpa
5.ham rah janaze e farishte bhi chale hain
Sar sabke khule hain
Nabiyon ki jama'at me hai gham apne wali ka
Kohram hai barpa
6.khamosh fizayn hain udasi ka hai pahra
Manzar hai ajab sa
Hasnain ko ro ro ke sabhi dete hain pursa
Kohram hai barpa
7.goshe me khade rote hain abbas e dilawar
aur sar ko jhuka kar
Haye re ye takdeer ne kya din hai dikhaya
Kohram hai barpa
8.majlis me nafees aaj kayamat ka hai manzar
Dil sabke hai muztar
Padhta hai naved aaj jo ye dard ka nauha
Kohram hai barpa
Comments
Post a Comment