Ali ko chorne waly tera meshar mn kia hoga.
Tu masjid mn bh maar jaye na koi faida hoga..
1 Ali k bugz ki itne buri hoti hai bemari
Jisse ek bar lag jaye humesha laa dawa hoga..
2. Azadaron ki lanat se kbhi bachi he nh sakta
Musaly par bh zehra ka agar dushman khara hoga..
3 Alam sarkar ghazi ka wafadari sekhata hai
Alam se bugz hai jisko yaqeenain bewafa hoga..
4 Na usk ashq jaengy kbhi rumaly zehra mn
Azaa k farish par jo bh seyasat kar raha hoga..
5 Hussain abne Ali Likhna parhyga har mohrigh ko
Khuda ka din ka jab bh jahan mn tarjhma hoga...
6 Sar e meshar Alam ly kar chalengy matmi sary
Humara rehne maan hur hai tumhara hurmila hoga...
7 Mery mola k dushman ko kbhi acha na tum samjho
Yahan par bh bura hoga wahan par bh bura hoga...
8 Waseem ab khof kia hoga bhala hum ko anderon ka
Humari qabr mn roshan charagh karbala hoga..
0 Comments