Tera shukriya bhi bhula diya
Tu magar khafa na kabhi huwa
Rehmat teri jari rahi
Neamat ata karta raha
Ye karam tera na kabhi ruka
Nazar agayi teri Reza hamen
Mhe maghferat bhi mila hamen
Lekin na tauba hamne ki
Ehsas hi kab tha hamen
Tu ghafur phir bhi raha sada
Ye namzo saumo zakat haj
Tere qurb ke hain ye raste
Lekin the inse door ham
Inki hamen taufeeq de
Hame phir qari'n tu Zara bula
Hai ajab zamane ki kaifiyat
Ya'n ghamo se har koi choor h
Ek tu h bas jo sath h
Sara zamana door h
Tuhi khatm karde ye fasla
Tune haisiyat se siwa diya har gunaah bhi dar guzar kiya
Kbhi ruka na daste karam tera tune bht diya aur sada diya
Hamen shohraten bhi Nawaz di'n aur hamesha rizqe Wafa diya
Diya ye saleeqaye guftugu aur zaba'n ko tarze dua diya
Ye sadayen dil se hain aa rahi kahin hamse tu to nahi khafa
Kahin gum khudi men hi rah gaya kahin ghaflato men aseer tha
Teri rahmato ka ye dar bhi kya band ai khuda mere hogaya
Kyu hai mushkilo men ye kul jaha'n kya h bebasi ka sabab bhala
Teri rahmaten hi ilaj hain ho karam ki phirse nazar idhar
Teri rahmato ka hai muntazir jise dekhta hun bachashme tar
Tere bande hain ham khudaye kul ab hamse razi ho bhi jaa
Jo khata huyi hai wo bakhsh de tujhe panjtan ka hai wasta
Ye hilal bhi tera abd h
Shbe ghm na ho tu de wo sahar
Akbar kahe to kya kahe
Har shai ki h tujhko khabar
Yahan tujh se kuch bhi ni chhupa
0 Comments