HASSAN (as) Jurratain You Raqam Ker Raha Hai
Qalam say siron ko Kalam ker Raha Hai
Ah waiz khuda he say ja poch ja kay
Ahad hai wo kiu khud ko hum ker raha hai
Wo dar hai HASSAN (as) ka jaha apnay sir ko
HUSSAIN ibn e HAIDER (as) bhi kham ker raha hai
Manata nahi jo khushi MUJTABA (as) ki
Wo Maa ki khatao ka gham ker raha hai
Hai tufan main pur sakon jo NABI (as) wo
Tera nam kashti pay dum ker raha hai
HASSAN (as) ki sana ka lia kibria khud
Hadeeso main Quran zam ker raha hai
Yeah noor e rukhay hussnay sabz e qaba hai
Jo soraj ka matay ko nam ker raha hai
HASAN (as) say adawat nahi ker raha tu
Ah kam aqal khud pay sitam ker raha hai
Zamana sana ker raha hai HASSAN (as) ki
Jo haq hai Naeem os say kam ker raha hai
0 Comments