Zakhmi Padar Ke Sar Ko, Dekh Kar, Zainab Ro Rahi Hai
Baba Ke Haal Ka Hai, Ye Asar, Zainab Ro Rahi Hai
Chaaye Hain Gham Kay Badal
Bethi Hai Sar Jhukaaye
Dekha Na Jaraha Hai
Baba Ka Haal Haaye
Ab Janib e Yateemi, Hai Safar,
Zainab Ro Rahi Hai
Muljim Kay Bete Tune
Kaisa Sitam Kiya Hai
Mara Hai Tune Jisko
Wo Sher e Kibriya Hai
Do Para Kardiya Hai, Tune Sar
Zainab Ro Rahi Hai
Zehra Kay Ghar Mein Kaisa
Ghurbat Ka ye Samaa,n Hai
Khoon e Ali Musalsal
Peshani se Rawa,n Hai
Chehra Hai Murtaza ka, Khoo,n Mein Tar
Zainab Ro Rahi Hai
Is Gham Mein Haaye Haaye
Be Haal Hain Hawain
Rone ki Aarahi Hain
kyun Arsh Se Sadain
Aaiii Hai Aaj Kaisi, Ye Sahar,
Zainab Ro Rahi Hai
Kulsoom Aur Ruqaiyya
karti Thi,n Bain Rokar
Baba Kay Dam Se Haaye,
Abaad Tha Mera Ghar
Veeran Hogaya Hai, ab ye Ghar
Zainab Ro Rahi Hai
Zainab Pukari Baba
Kis tarhan Ab Jiyungi
Bin Dekhe Tera Chehra
Main Ab Na Reh Sakungi
Dekho to Meri Janib, Ek Nazar
Zainab Ro Rahi Hai
Zainab Pe Hai Qayamat
Baba ki ye Judai
Samjha Rahe Hain Milkar
Zainab Ko Saare Bhai
Baba Kay Gham Mein Sar ko, Peet Kar
Zainab Ro Rahi Hai
Zeeshan Jab Janaza Utha Ali Ka Ghar Se
Uthta Tha Shor e Matam Mola Ali Kay Ghar Se
Kulsoom Se Lipat Kar, Be Padar
Zainab Ro Rahi Hai
Marhaba Ramzan Maherban Naat Lyrics In Roman Urdu, Hindi
0 Comments