Ghar me khuda ke ye qayamat huwi
Sajda e haq me huwe zakhmi ali
Haatif e ghaibi ne ye aawaaz di
Maahe mubarak mein ghazab hogaya
Zakhmi shenshaahe arab hogaya
Masjide kufa bhi larazne lagi
Behne laga sar se ali ke lahoo
Gham ki faza phel gayi chaarsu
Parhte the noha ye namazi sabhi
Waar jo sajde mein ali par huwa
Mola ne bas fuztu woh rabbi kahaa
Khoob sa’adat yeh ata hogayi
Ghar me khuda ke hi wiladat huwi
Ghar me khuda ke hi shahadat huwi
Guzri ali haq pe teri zindagi
Jeena yateemo’n ka huwa hai mahaal
Kaun bhala unka rakhega khayal
Saare yateemon’ ke hai lab par yehi
Chote se abbas bhi rone lage
Nohe kiye zainab o kulsoom ne
Rote hain sar peet ke Hasnain bhi
Hogai Azlaan qayamat bapa
Aati hai zahra ki lahad se sada
Bacho’n ne mere nahi dekhi khushi
0 Comments