Baap ki mayyat pe hai Zainab s.a ka noha al'aman
Jaa rahe hain chor kar beti ko baba al'aman
Fatima Zahra s.a k dar par Ambia a.s ki hai buka
Khoon mai dooby hue hain ya Ali mushkil kusha a.s
Kar rahy hain Hazrat e Jibreel (a.s) girya al'aman
Zeenat e parwardigar e do jaha'n rukhsat hua
Ronaq e mehraab or naaz e aza'n rukhsat hua
Bain karta hai musally par ye sajda al'aman
Ye jawanan e jina k rehbaro'n ki hai aza
Koi mou ko peet'ta hai koi sar ko baa khuda
Keh raha hai aaj sara shehr e kufa al'aman
Ibtida e karbala hai har ghari hai pur khatar
Ab yateeman e Ali a.s ki ya ilaahi khair kar
Apni turbat se sada deti hain Zahra s.a al'aman
Jab kaha Zainab s.a ne baba sham jana hai mujhe
Jab suna beti ka ye ro ro k kehna baap ne
Karb se tarpy kafan mai shah e wala a.s al'aman
Apni ghurbat par Ali (a.s) ne ye kaha tha Sayyeda (s.a)
Darguzar karti hai dunya ab salam e Murtaza (a.s)
Fatima Zehra ne ye sun kar pokara al'aman
Sab azadaran e Haider (a.s) ki hai Yasir ye sada
Aye Imam e Asr Mola, Waris Mushkil kusha
Aap ke jad ki shahadat par hai pursa al'aman
0 Comments