Salam Khaak Nasheeno Pey | Shahid Baltistani | Nohay 2026 | Salam e Akhir Lyrics: --------- Salaam Khaak Nasheenon Pe Sogwaron Ka Ghareeb Dete Hain Pursa Tumhare Piyaron Ka Salaam Bhejte Hain Apni Shahzadi Par Ke Jisko Saunp Gaye Marte Waqt Ghar Sarwar Ghareeb Dete Hain Pursa Tumhare Pyaron Ka Salaam Khaak Nasheenon Pe Sogwaron Ka Rula Rula Ke Jise Maara Ran Mein Lakhon Ne Badan Kuchal Diya Maqtal Mein Raahwaron Ne Hay Bey-Kafan Usi Piyase Ka Dasht May Lasha Salaam Khaak Nasheenon Pe Sogwaron Ka Sakina Bibi Tumhare Ghulaam Haazir Hain Bujhe Jo Pyaas To Ashkon Ke Jaam Haazir Hain Jo Paani Lene Gaya Tha Woh Mar Gaya Ghazi Laga Jo Gurz To Ghore Se Yoon Gira Ghazi Tha Teer Aankh Mein Aur Zakhmi Ho Gaya Chehra Salaam Khaak Nasheenon Pe Sogwaron Ka Salaam Baali Sakina Ke Neele Gaalon Par Tamaanche Khaye Jala Karta Chhin Gaye Gauhar Safaid Baal The Zahra Sa Haal Tha Uska Janab-E-Madar-E-Be-Sheer Ko Bhi Sab Ka Salaam Ajeeb Waqt Hai Kya Dein Tasalliyon Ka Payaam Na Jaane Kaise Yeh Asghar Ki Ma...