Salam Khaak Nasheeno Pey Noha Lyrics
Salam Khaak Nasheeno Pey | Shahid Baltistani | Nohay 2026 | Salam e Akhir
Lyrics:
---------
Salaam Khaak Nasheenon Pe Sogwaron Ka
Ghareeb Dete Hain Pursa Tumhare Piyaron Ka
Salaam Bhejte Hain Apni Shahzadi Par
Ke Jisko Saunp Gaye Marte Waqt Ghar Sarwar
Ghareeb Dete Hain Pursa Tumhare Pyaron Ka
Salaam Khaak Nasheenon Pe Sogwaron Ka
Rula Rula Ke Jise Maara Ran Mein Lakhon Ne
Badan Kuchal Diya Maqtal Mein Raahwaron Ne
Hay Bey-Kafan Usi Piyase Ka Dasht May Lasha
Salaam Khaak Nasheenon Pe Sogwaron Ka
Sakina Bibi Tumhare Ghulaam Haazir Hain
Bujhe Jo Pyaas To Ashkon Ke Jaam Haazir Hain
Jo Paani Lene Gaya Tha Woh Mar Gaya Ghazi
Laga Jo Gurz To Ghore Se Yoon Gira Ghazi
Tha Teer Aankh Mein Aur Zakhmi Ho Gaya Chehra
Salaam Khaak Nasheenon Pe Sogwaron Ka
Salaam Baali Sakina Ke Neele Gaalon Par
Tamaanche Khaye Jala Karta Chhin Gaye Gauhar
Safaid Baal The Zahra Sa Haal Tha Uska
Janab-E-Madar-E-Be-Sheer Ko Bhi Sab Ka Salaam
Ajeeb Waqt Hai Kya Dein Tasalliyon Ka Payaam
Na Jaane Kaise Yeh Asghar Ki Maan Ne Dekha Tha
Sinaan Ki Nok Pe Nanha Sa Zakhmi Laasha Tha
Usi Ke Saamne Asghar Ka Sar Bhi Kaata Gaya
Salaam Khaak Nasheenon Pe Sogwaron Ka
Salaam Tum Pe Shaheedon Ke Be-Kafan Laashon
Salaam Tum Pe Rasool O Batool Ke Pyaron
Salaam Dilbar-E-Zahra Ke Sab Jawanon Par
Jahaan Pe Aun O Muhammad The Qasim O Akbar
Waheen Pe Maon Ko Qaidi Bana Ke Laya Gaya
Salaam Khaak Nasheenon Pe Sogwaron Ka
Aseer Ho Ke Jise Shaamiyon Ke Narghe Mein
Hussainiyat Hai Sikhana Ali Ke Lehje Mein
Palat Ke Rakh Diya Darbar-E-Shaam Zainab Ne
Kiya Karbobala Tujh Ko Aam Zainab Ne
Rida To Chhin Gayi Lekin Bachaya Deen-E-Khuda
Salaam Keh Gaye Nasir Jahaan Aur Aal-E-Raza
Tarap Ke Reh Gaya Zeeshan Haaye Dil Mera
Kaheen Bhi Shaam-E-Ghareebaan Mein Goonji Jab Yeh Sada
Bachche Jo Agle Baras Hum Hain Aur Yeh Gham Phir Hai
Jo Chal Base To Yeh Apna Salaam-E-Aakhir Hai
Salaam Khaak Nasheenon Pe Sogwaron Ka
सलाम खाक नशीनों पे सोगवारों का
ग़रीब देते हैं पुरसा तुम्हारे प्यारों का
सलाम भेजते हैं अपनी शहजादी पर
के जिसको सौंप गए मरते वक्त घर सरवर
ग़रीब देते हैं पुरसा तुम्हारे प्यारों का
सलाम खाक नशीनों पे सोगवारों का
रूला रूला के जिसे मारा रण में लाखों ने
बदन कुचल दिया मक़तल में रहवारों ने
हे बे-कफ़न उसी पियासे का दश्त मई लाशा
सलाम खाक नशीनों पे सोगवारों का
सकीना बीबी तुम्हारे गुलाम हाज़िर हैं
बुझे जो प्यास तो अश्कों के जाम हाज़िर हैं
जो पानी लेने गया था वो मर गया गाज़ी
लगा जो गुर्ज तो घोरे से यूं गिरा गाजी
था तीर आंख में और जख्मी हो गया चेहरा
सलाम खाक नशीनों पे सोगवारों का
सलाम बाली सकीना के नीले गालों पर
तमंचे खाए जला करता छिन गए गौहर
सफ़ैद बाल द ज़हरा सा हाल था उसका
जनाब-ए-मदार-ए-बे-शीर को भी सबका सलाम
अजीब वक़्त है क्या दें तसल्लियों का पयाम
ना जाने कैसे ये असगर की मान ने देखा था
सिनान की नोक पे नन्हा सा ज़ख्मी लाशा था
उसके सामने असगर का सारा भी काटा गया
सलाम खाक नशीनों पे सोगवारों का
सलाम तुम शहीदों के बे-कफ़न लाशों
सलाम तुम पे रसूल ओ बतूल के प्यारों
सलाम दिलबर-ए-ज़हरा के सब जवानों पर
जहां पे औं ओ मुहम्मद कासिम ओ अकबर
वहीं पे मां को कैदी बना के लाया गया
सलाम खाक नशीनों पे सोगवारों का
असीर हो के जिसे शामियों के नरघे में
हुसैनियत है सिखाना अली के लहजे में
पलट के रख दिया दरबार-ए-शाम ज़ैनब ने
किया करबोबला तुझ को आम ज़ैनब ने
रिदा तो छिन गई लेकिन बचाया दीन-ए-खुदा
सलाम कह गए नासिर जहां और आल-ए-रज़ा
तारप के रह गया जीशान हाए दिल मेरा
कहीं भी शाम-ए-ग़रीबां में गूंजी जब ये सदा
बच्चे जो अगले बरस हम हैं और ये गम फिर है
जो चल बसे तो ये अपना सलाम-ए-आख़िर है
सलाम खाक नशीनों पे सोगवारों का
Comments
Post a Comment