Kaha hussain ne jaise hi tujhko maa fizza
Hui jo aale nabi tum pa meherbaan fizza
Tumhe bana diya baadal se aasma fizza
Hayat kaat di aale nabe ke jhurmut me
Jahan jahan thi shariyat wahan wahan fizza
Imamato ke saro par thi saaybaan zainab
Baraye saniye zahra thi saaybaan fizza
Butool se na mili thi to aik qatra thi
Mili to ho gayi ik bahre be karaan fizza
Janabe fatima zahra to ahle jannat hain
Jina gayin tere haatho ki rotiyan fizza
Nabi ki beti ne tumse bhi ye kaha hoga
Na meri laash pa aaye falan falan fizza
Hum ahle bait ki khidmat se kaise moo mode
Hai khoon ban ke rago me rawan dawan fizza
Kalam kah diya shiraz ne mohabbat se
Ali raza tera dekhengi ab bayan fizza
0 Comments