Aj hum bat karte hain ke sab se afzal tareen amal kon sa hai, ya kon sa aisa amal kiya jaye jis se Qayamat ke roz, ya duniya mein rehte howe bhi buland maqam hasil ho. Humare zehn mein hoga ke shayad Namaz. Lakin Hadees e Mubaraka aur Quran e Pak mein Zikr Allah ko buland tereen Maqam ka darja, aur zikr ko sab se afzal amal karar diya gaya hai. Hadees e Mubarka jamia tirmizi jild 5 Hadees No 320, Ye Hadees riwat karte hain Hazrat Abu dargah Ans se riwat hai, Nabi Pak saw se pocha gaya ke Qayamat ke roz sab se buland maqam kis ka ho ga. Aik aur Hadees e Mubaraka hai jamia tirmizi jild 2 aur Hadees no 147, dono ka mafhom aik jaisa hai. Ke sab se Afzal tareen Maqam aur darja kon sa hai? to Nabi Pak saw ne farmaya: ke main aisa Amal bataon jo ke Allah ki rah mein Sona, Chandi kharch karne se bhi Afzal ho, to Ashaba ne arz ki ke Nabi Pak saw batain, to Nabi Pak saw ne farmaya: Allah ka zikr, agar jo Allah ka zikr karta hai to us ka darja Maqam sab se buland aur Afzal hai, aur Allah ko sab se Mehboob Amal hi Zikr hai. To Ashaba ne arz ki, ke Nabi Pak saw, kya Jahad karne se bhi Afzal hai. To Nahi Pak saw ne farmaya: ke tum jahad karo aur mushreqeen aur kufaar ko wasle jahanam bhi kar aur tumhari talwar bhi tut jay, aur tum bhi Shaheed ho jao, lakin Allah ka zikr karne wale ka Maqad tum se Buland ho ga. Yani itna afzal maqam ke ho Allah ka zikr karta hai, yani Sab se afzal tareen Amal zikr hai. aik aur Hadees e mubaraka bhi hai jis mein Ashaba akram ne arz kiya ke ya Nabi Pak saw, jo amir ashaba hain wo bazi le gay hain to Nabi Pak saw ne farmaya ke tum Allah ka zikr karo. Kuch logon ko confusion hai ke zikr se muraad Namaz hai, us zikr se muraad jo Afzal tareen hai, ya us zikr se muraad jis ke bare mein Islam mein ke jis ke amal ka buland maqam hai, Jo bari Ibadat hai wo Namaz hai, Namaz to arkan e Islam mein dosre No par hai, pehle no par zikr hai, bunyad zikr hai, to is par Quran e pak ka faisa kiya hai ke Buland tareen ibadat kya hai, ya buland tareen amal kiya hai? Allah taala farmata hai Surah Al-Ankaboot Ayat No 45, beshak Namaz behayai aur burai se rokti hai, Aur beshak Allah ka zikr sab se bara hai, yani ke sab se afzal amal zikr allah hai. Namaz to meraj mein aaen thi to pehle kya tha? Pehle Zikr e Ilahi, Allah ka zikr tha. Is liye Zikr e Ilahi ka darja, ya Amal sab se buland hai. Ab Zikr e Ilahi mein bhi alaihda darje hain, jo sufi Saint hain, jo sultan ul fuqra hain, unhon ne bhi farmaya ke ap jitna bhi Maqam hasil kar lo, lakin jo Zikr e Qalbi wala hai yani Qalbi zikr wala hai us ka maqam ap se buland hi hai. Kyun ke Zikr e Qalbi wala banda kisi darje mein nahi ata, Qalbi zikr wala banda Mohabbat mein ata hai. Zikr e Lataif karne wala banda darje aur jannaton mein nahi ata, Zikr e Lataif karne wala Ishq mein ata hai, aur Ishq Allah ke rohbaro kar deta hai. Jo ishq Allah ke rohbaro kar de us ka darja kiya ho ga, us ke darje ka koi paimana nahi hai. To mere aziz dosto Islam mein sab se afzal Amal Allah ka zikr hai, to koshish kiya karo ke Namaz ke sath sath Allah ka zikr bhi kiya karo. Allah ke zikr ka tarika ye hai ke ap apne dil ki aik tik ke sath "Allah" mila kar parhein aur dosri tik ke sath "Hoo" mila ke parhin.
0 Comments