Header Notification

Sahibe taaj WO shah e meraaj WO Naat Lyrics

Sahibe taaj wo, Shah e meraaj wo x2
Sheh saware burhako ameer e alam
dafaye har bala Dafaye har maba,
dafaye kehto-am, raazo ranjo alam

Sahibe taaj wo, shah e meraaj wo

Ism likha gaya ism ooncha hua
Ism mohr e kabool e shafaat bhi hai
Ism ki barkatein, ism ki ronakein
Ism loho kalam ki imanat hai

Kya arab kya ajam Sab k sardar hain
Sab k sardar ka hai muqadas badan
Harm kaba ko wo jo munawar kare
Wo mehekti wo pakeeza si ik kiran
Sahibe taaj wo, shahe meraaj wo x2


Chaast gahon ka sooraj wujood apka
Ap har shak ki zulmat k mahtaab hain
Sad re bazm e bulandi o rafa’at k hain
Rah guzare hidayet k mahtaab hain
Sari makhlook ki hain wo jaye amaan
Sari taareekiyo k wo roshan charaagh
Naik zeenat hain wo naik atwar hain
Unke hatho me hai bakhshishon k aya

Sahibe taaj wo, shahe meraaj wo x2


Sar se pairon talak wo karam hi karam
Rab hifazat kare bil yakeen ap ki
Unke khidmat guzaron me jibreel hain
Or sawari burake haseen ap ki
Safar unka hai meraaj or sidra
Tul muntaha mustaqar or makaam unka hai
Kaaba kosain ka martaba unka matloob hai
Or dar-u-sallam unka hai

Sahibe taaj wo, shahe meraaj wo x2

Or matloob hi unka maqsood hai
Or maqsood hi unka mojood hai
Ap saare rasoolon k sardar hain
Ap ka sirf ALLAH mabood hai
Baad me sare nabiyon k aye hain wo
Bakshwayein ge har ik gunnah gar ko
Har musafir ki krte hain gham khawariyan
Rehmatein bantttein hain wo sansaar ko

Sahibe taaj wo, shahe meraaj wo x2

Aashiqon k dilon ki wo taskeen hain
Or muradein har ik sahibe shok ki
Haq shanason ki khursheedo khaawar hain wo
Saal ki ne rhe ishq ki roshini
Pyar mohtaaj o muflis se miskeen se
Har mukarib ki wo rehnumai karein
Jinno insan k sardar dono haram
Dono kiblon ki wo paishwayi karein

Sahibe taaj wo, shaahe meraaj wo x2

Duniya or aakhrat ka waseela hain wo
Rutba e kaba kosain jinko mila
Dono hi mashrikon magribo ka wo rab
Haasil unko khiatab uske mehboob ka
Jadd-e-amjad hain Hasnain k or har
Jinno insaan k aaqa o maula hain wo
Baap Kasim k baite hain Abdullah k
Or noor e ilahi ka hissa hain wo

Sahibe taaj wo, shaahe meraaj wo x2

Aey fidayaane noore jamale Nabi
Ap par aalo as-haab par subho shaam
Jese haq bhi jinhi ka hai bhaijo bassad
Ehtraam o mohabbat durood o sallam

Sahibe taaj wo, shaahe meraaj wo x2
Sheh saware burhako ameer e alam, dafaye har bala
Dafaye har maba, dafaye kehto-am, raazo ranjo alam
Sahibe taaj wo, shah e meraaj wo 

Post a Comment

1 Comments

  1. pls amend couplet
    noor e ilaahi ka hissa ...
    to
    noor e ilaahi ka jalwa hein wo.
    this is the amended and correct word

    ReplyDelete