ROMAN URDU MANQABAT LYRICS
Sonno Sonno Meray Mola Riza a.s kay Sikay Say
Nizaam Banta hai Kiya Kiya Riza a.s kay Sikay Say ..
Ye Aam Sikaa Nahi Sikay e Imamat Hai
Aur Iskee Arz o Smawat Pay Hukomat Hai ...
Hai Bagh e khuld bhi Sasta Riza (a.s) Kay Sikay Say
Kay Iss Pay Naqsh Hai Ismay Ali e Mosi Riza ( a.s)
Aur Iss May Akss Hai Mola Riza (a.s) Kay Rozay Ka
Khuroj e Noor Hai Goya Riza (a.s) Kay Sikay Say
Janab e Wali e Mashhad Say Isko Nisbat Hai
Niyaz o Nazr Main Langar Main Iss Kee Shirkat Hai
Hai Rehmaton Ka Asasa Riza (a.s) Ka Sikay Say
Marefat ke nazar Say Ye hum Nay Jana Hai
Ghareeb e Tous Ka Hasil Humay Khazana Hai
Khareed Lain Gay zamana Riza (a.s) Kay Sikay Say
Humaray Bazo Pay Jab Maayn Bandhtee Hain Isay
Tu Hum say Kehtee Hain Ro Kar Baray Aqeeday Say
Har Aik Shar Say Bachay Ga Riza (a.s) Kay Say .
Hum is liye He Tu Rakhtay Hain Jaib Main isko
Humaray Rizq Main iss Kay Sabab Say Barkat Ho
Kay Rizq Barhta Hai Apna Riza (a.s) Kay Sikay Say
Jahan Say bol Raha hai Ye Yasir e Sehwan
Qaza kay Baad Chalay Sath Sath Zair eKafan
Kay Mujhko Door Na Karna Riza (a.s) Kay Sikay Say
Manqabat Title | ☆ RIZA a.s KAY SIKKE SAY ☆
Recited By | RAJAB ALI KHAN
Poet | Yasir Raza Yasir
Mixing & Master | Daniyal Ali Hassan
Audio Arranged |Daniyal , Vic Ali
Backing Vocal | Farhan &Vic Ali
Audio Courtesy | SAHIB DIGITAL STUDIO
Edit & Post | The Focus Studio (Safdar Kaleem)
Creatives | Qasim Shah Zaidi
Produced By | S Abbas Kazmi (Sunny Shah)
Related Post:
0 Comments