Header Notification

Zikr E Jahr Ka Tarika Aur Zikr E Jahr Ki Mehfil Ke Liye Hadees E Mubarka

 
Zikr E Jahr Ka Tarika Aur Zikr E Jahr Ki Mehfil Ke Liye Hadees E Mubarka

Zikr E Jahr Ka Tarika Aur Zikr E Jahr Ki Mehfil Ke Liye Hadees E Mubarka:
Zikr e Jahr zikr ki ijtamai mehfil, jo banda bhi attand kar le zikr e jahr ki mehfil, Jo banda bhi Zikr ki Mehfil ko attand karta hai wo kabhi mehroom nahi hota. Method Of Zikr E Jahr: Zikr e jahr ka matlab hai buland awaz mein Allah ka zikr karna aur Allah ka zikr karne ka tarika ye hai ke apne dil ki dharkan ke sath hi Allah ka zikr kiya jata hai. Aur Zikr ke liye Allah ne Quran e Pak mein bar bar kaha hai zikr karne ke liye aur Nabi Pak saw ne Hadees e Mubarka mein farmya hai ke Allah ka zikr itna karo ke log tumhen dewana kahen. Hadees e Mubarka "Sahi Bukhari" jild 2 Hadees No 948, nabi Pak saw ne irshan farmaya, ke Allah taala ke farishte Ahle Zikr ko dhonte hain, means ke jahan Zikr ki mehfil ho rahi ho wahan jate hain aur dosre farishton ko bhi bulate hain ke aa jao, jahan ijtamai tour par Zikr e jahr ho raha hota hai us mehfil ko farishte danp lete hain, take us Zikr e Jahr ki mehfil mein koi bhi shaitani mudakhlat na ho. Jab Zikr e Jahr ki Mefil khatam ho jati hai to phir wohi farishte wapis jab Allah taala ke pas jate hain, to Allah taala un se pochta hai ke mere bande kiya kar rahe thay, to farishte farmate hain ke Allah ka zikr kar rahe thay. To Allah taala un se pochta hai ke kiya unhon ne mujhe dekha, to farishte kehte hain ke nahi dekha, agar dekhte to un ki talab aur bhi zyada barh jati aur wo aur bhi zyada Zikr karte. To Allah Taala farmata hai ke main tumhein gawah banata hon ke jo log Zikr e Jahr ki is Mehfil mein baithay thay maine in ko baskh diya. Zikr e Jahr ki jo Mehfil hoti hai us ka zahiri maqsad bhi hota hai aur Batni maqsad bhi hota hai, kyun ke Zikr e Jahr Sufism Zikr hai aur ye Sufism Zikr wohi karte hain jin ke dil mein Allah ki Mohabbat hoti hai. Batni maqasid kya hain? Daily jo Zikr e Jahr ki Mehfil hoti hai, us mein Qalb aur Rooh par zarab laga ke Zikr e Jahr karte hain, ke andar se Qalb aur rooh Zinda ho aur us ko daily ki khoraq mile. Jaise humare jism ki Daily ki khoraq hai, is tarhan Qalb aur Rooh ki khoraq Allah ka zikr hai. Chahe kisi ke Lataif zinda bhi hon lakin Zikr e Jahr karne ki waja se un ke andar ke Lataif bhi Zikr ka shor barpa kar dete hain Zikr e Jahr wo chez hai.

Zikr E Jahr ke Jahr ke Fayde:
-Hadees e Mubarka hai Zikr E Jahr ke 10 Fayde hain
-No1 Dil ki Safai
-No2 Ghaflat se Tanbiya
-No3 Jism ki Sehat
-No4 Allah Ta'ala ke dushmano ke sath Jan
-No5 Izhar e Deen
-No6 Ilaj e Shaitani
-No7 Ilaj e Nafsani
-No8 Tawajo Illallah, Yahi Allah ki tarf tawajo
-No9 Ghairullah se nafrat
-No10 Khuda aur bande ke beech mein se hijab ka uth jana

Yani ke jo bhi Zikr e Jahr karta hai wo Allah Taala ki Mohabbat mein aa jata hai. Zikr e Jahr ki Mefil ko jo log attand karte hain Allah taala ki taraf se wo jawaz diya jata hai. to mere aziz dosto koshish kiya karo ke Allah ka zikr kiya karo, apne dil ki dharkanon ke sath dil ki aik tik ke sath "Allah" aur dosri tik ke sath "Hoo" mila ke parha karin. 

Post a Comment

0 Comments