Alam badha do alamdar mar gya zainab Lyrics - New Noha 2021 | Alamadar Mar Gaya Zainab | Abis Raza Sultani 2021 | New Nohay 2021 | Mola Abbas Noha
New Noha 2021 | Alamadar Mar Gaya Zainab | Abis Raza Sultani 2021 | New Nohay 2021 | Mola Abbas Noha
New Nohay 2021/1443 | New Noha Shahadat Hazrat Abbas (as) 2021 | Abis Raza Sultani 2021
Title - Alam Badha Do Almdar Mar Gaya Zainab
Related - Shahadat Mola Abbas Noha 2021 (8 Muharram Noha)
Reciter - Abis Raza Sultani
Poetry - Aalam Sultanpuri
Audio - Raza Tirmazi
Video - Azmat Hayder
Production - @Azadari Chitora
Alam badha do alamdar mar gya zainab Lyrics
Dar e khayam pe kahte the shah e din rokar
Alam badha do alamdar mar gya zainab
Tadap ke mar gya ghazi mera tarai par
Alam badha do alamdar mar gya zainab
Chacha na aayege bachchi se bol do zainab
Alam se mashk e sakeena ko khol do zainab
Kata ke shane jari so gya tarai par
Alam badha do alamdar mar gya zainab
Ye kiske khoon me ammu ka hai alam dooba
Jo pooch legi sakeena kahan hai baba chacha
Jawab kya mai use dungi bekas o muztar
Alam badha do alamdar mar gya zainab
Naher pe ho gai bhai ke mere shane qalam
Nhi hain qasim o akbar jo ab uthay alam
Ye soch soch ke phatta hai mera qalb o jigar
Alam badha do alamdar mar gya zainab
Bahen uthana hai dil pe bahot hi ranj o alam
Ridaen chinenge kuch der me ye ahl e sitam
Teri rida ka mohafiz bhi mar gya khawhar
Alam badha do alamdar mar gya zainab
Sukun na paogi ab shaam o kufa jaogi
Har ek gham pe ranj o alam uthaogi
Sukon se soyenge ab aaj se ye ahl e shar
Alam badha do alamdar mar gya zainab
Alam jo uthta hai ghazi ka jb kahin aalam
Tadap ke kahte hon Abis ke jaise shah e umam
Alam ko dekh ke phata hai mera qalb o jigar
Alam badha do alamdar mar gya zainab

Post a Comment