3 Shaban Manqabat 2021 | Usay Hussain Kaha Jata Hai Lyrics | Imam Hussain Manqabat 2021
Manqabat For 3 Shaban Wiladat Imam Hussain (as) 1442/2021
Usse Hussein(as) kaha jaata
Usse Hussein(as) kaha jaata
Hussein(as) usko kaha jaata hai
Usse Hussein(as) kaha jaata
Jiske nana hai Nabi(saw)
Jiske baba hai Ali(as)
Fatema Zehra(sa) kii
Jisko aagosh mili
Jiske jhule ko Malak aan kar jhulaata hai
Usse Hussein(as) kaha jaata
Usse Hussein(as) kaha jaata
Hussein(as) usko kaha jaata hai
Usse Hussein(as) kaha jaata
Bana huwa hai aaj bhi, jo sab ke dil ki dhaDkane
Hussein(as) ka jo hoo gaya hai usse duur uljhane
Jo baDa dee quwwat
baksh dee jo himmat
Jiske sadqe mei jahaaN
paa raha hai izzat
Wo jiske naam se dil ko sukoon aata hai
Usse Hussein(as) kaha jaata
Usse Hussein(as) kaha jaata
Hussein(as) usko kaha jaata hai
Usse Hussein(as) kaha jaata
Jale huwe the baal o par har Ek dua thi be asar
Naseeb se woh aagaya janaab e Sayyada(sa) ke ghar
Mas jo Jhule se huwa
Hoo gayi pal mei ata
Mil gaye baal o par
UDke Fitrus ne kaha
Jiska gehwaara bhi yeh maujiza dikhaata
Usse Hussein(as) kaha jaata
Usse Hussein(as) kaha jaata
Hussein(as) usko kaha jaata hai
Usse Hussein(as) kaha jaata
Hai masjid e Nabi ka yeh baDa kadeem waqeya
JahaaN pe marziye Hussein(as) dekhta raha khuda
Rab ne bheji yeh wahi
Sar uthana na Nabi(saw)
Aaj ka yeh sajda
Dunya bhoole na kabhi
Subhana Rabbil al aala jo kehl waata hai
Usse Hussein(as) kaha jaata
Usse Hussein(as) kaha jaata
Hussein(as) usko kaha jaata hai
Usse Hussein(as) kaha jaata
Naseeb mei nahi tha jo Hussein(as) ne ata kiya
Likha huwa tha la walad jahaaN usse mita diya
Dee diye saat pisar
Bhar diya mera ghar
Jholi Rahib ki bhari
Woh chala yeh kehkar
Lohe mehfooz pe jo khud kalam chalata hai
Usse Hussein(as) kaha jaata
Usse Hussein(as) kaha jaata
Hussein(as) usko kaha jaata hai
Usse Hussein(as) kaha jaata
KahiN Nabi(saw) bana, kahiN Hassan(as)kahiN Ali(as) Hussein(as)
Jawaab har sawaal ka jo ban gaya wahi Hussein(as)
Sabr ka jo hai Khuda
Jisse darti hai qaza
Jiske aage batil
Ek pal bhi na ruka
Guroor e zulm jahaaN aake toot jaata hai
Usse Hussein(as) kaha jaata
Usse Hussein(as) kaha jaata
Hussein(as) usko kaha jaata hai
Usse Hussein(as) kaha jaata
Jo Mojiza Hussein(as) ko mila kisi ko na mila
Jo Martaba Hussein(as) ko mila kisi ko na mila
Deen ki hai jo hayaat
Jisse baaki hai salaat
Jiski har baat mei hai
Sirf maabood ki baat
SinaN ki nook pe qur’an jo Sunata hai
Usse Hussein(as) kaha jaata
Usse Hussein(as) kaha jaata
Hussein(as) usko kaha jaata hai
Usse Hussein(as) kaha jaata
Jo zulm ko daba gaya ,Jo sabr banke chaa gaya
Woh Fatema(sa) ka laDla, jo Karbala basa gaya
Jo kabhi bhi na Jhuka
Jo kabhi bhi na ruka
Zulm jiske aage
MuuH ke bal aake gira
Jo zalimoN ko sabaq aaj bhi sikhata hai
Usse Hussein(as) kaha jaata
Usse Hussein(as) kaha jaata
Hussein(as) usko kaha jaata hai
Usse Hussein(as) kaha jaata
Zamane walo dekh loo karam hai yeh Hussein(as) ka
Zabaan hai “Raza” ki zikr Fatema(sa) ke chain ka
Ek nazar kii jis par
Ban gaya woh shayar
Main nahi kehta yeh
Bolta hai mimbar
Utha ke farsh se jo arsh par bithata
Usse Hussein(as) kaha jaata
Usse Hussein(as) kaha jaata
Hussein(as) usko kaha jaata hai
Usse Hussein(as) kaha jaata
Post a Comment