Lahoo Mein Doobi Ye Karbala Hai Lyrics Nohay 2021 | Yeh Karbala Hai | New Noha 2021 | Mohammed Abbas Karim Nohay 2021 | Muharram 2021 / 1443 | Noha Imam Hussain | Karbala Noha | محرم 1443
Yeh Karbala Hai | New Noha 2021 | Mohammed Abbas Karim Nohay 2021 | Muharram 2021 / 1443
Originally Recited | Mukhtiar Ali Sheedi
Reciter | Mohammed Abbas Karim
Noha Title | Yeh Karbala Hai
Poetry | Zeeshan Abidi
Composition |
Chorus | Own Rizvi & Brothers
Audio | ODS Official Studio ( Karachi)
Video & Editing | Zahid Masoom Rizvi
Islamic Date | Muharram 2021 / 1442H
Lahoo Mein Doobi Ye Karbala Hai Lyrics
Lahoo Mein Doobi Ye Karbala Hai
Jahan pe Zehra ka Ghar Luta Hai
Nahi Qayamat Se Kam ye Manzar
Kamar ko Thame Khare Hain sarwar
Sina Kaleje mein Khaaye Akbar Tarap Raha hai
Wo Teer Jisne Gale pe Khaya
Jo Teer Khakar Bhi Muskuraya
Jahan Wo Seene pe Apne Baba Kay So Raha hai
Yaheen Hassan ki Miti Nishani
Yaheen pe Farwa ki Godh Ujri
Yahan pe Qasim ka Tukre Tukre Badan Hua Hai
Baha Jo Mashk e Wafa se Paani
Rahi Na Sanson mein Phir Rawani
Baghair Bazoo Zameen pe Ghazi Jahan Gira Hai
Jahan pe Dekha Gaya Ye Manzar
Rawan hai Zalim ka Haaye Khanjar
Gale pe Bete Kay Maan Ne Apna Gala Rakha hai
Bhara Hai Teeron Se Sheh ka Seena
Kahan pe Soye gi ab Sakina
Jahan pe Beti se Baap Haaye Juda Hua hai
Kareem O Zeeshan Hai Haqiqat
Hai Karbala hi Zameen Pe Jannat
Jahan Pe Jaane Ko Har Hussaini Tarap Raha hai
Post a Comment