Header Notification

Hazrat Maulana Hasan Raza Khan Biography


Hazrat Maulana Hasan Raza Khan rahmatullāhi alaihi :

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Shehnshaah-e-Sukhan, Ustaad-e-Zamaan.

****************
Aap ki wilaadat 22 Rabi-ul-awwal 1276 Hijri (19 October 1859 A.D.) ko Bareilly shareef (Uttar Pradesh) me hui.

****************
Aap ke waalid ka naam Hazrat Maulana Naqi Ali Khan bin Raza Ali Khan rahmatullāhi alaihi hai.

*****************
Aap ne apne waalid Hazrat Maulana Naqi Ali Khan se aur apne bhai Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki.

****************
Aap ki likhi hui mash’hoor kitaaben :
(1) Zauq-e-Naat
(2) Aa’ina-e-Qayaamat
(3) Deen e Hasan dar Haqeeqat e Islaam
(4) Nigaaristan e lataafat dar Zikr e Meelaad shareef
(5) Tazke Murtazwi darisbat e tafzeel e Shaikhain.
(6) Wasa’il e Bakshish dar Zikr e Karaamat e Ghauṡ e aazam
(7) Be mauqa faryaad ka jawaab dar Masla e Qurbaani
(8) Tazke Murtazwi darisbat e tafzeel e Shaikhain.
(9) Samr fasaahat e kalaam Majaaz Urdu ma qandparsi.

Aap ne bahot saari Hamd, Naat, aur Manqabat likhi hain.

Aap ki likhi hui chand mash’hoor Nazamen:

(1) Ajab rang par hai bahaar e Madeena,
Ke sab jannaten hain nisaar e Madeena.

(2) Ser e gulshan kaun dekhe dasht e Taibah chdod kar.
Soo e jannat kaun jaaye dar tumhara chdod kar.

(3) Dil dard se bismil ki tarha laut raha ho,
Seene pe tasalli ko tera haath dhara ho.

(4) Yeh ikraam he Mustafa par Khuda ka
Ke sab kuchh Khuda ka huwa Mustafa ka.

(5) Tumhara naam museebat me jab liya hoga,
Humara bigda huwa kaam ban gaya hoga.

(6) Bayaan ho kis zabaan se martaba Siddeeq e akbar ka,
Hai yaar e ghaar Mehboob e Khuda Siddeeq e akbar ka.

(7) Imdaad kun imdaad kun, Az ranj wa gham aazaad kun,
Dar deen o dunya shaad kun, Ya Ghaus e Aazam dastageer,

(8) Khwaja e Hind woh darbaar hai a’ala tera,
Kabhi mehroom nahi maangne waala tera.

****************
Aap ke 3 saahabzaade hain :
(1) Hazrat Maulana Hakeem Husain Raza,
(2) Hazrat Hakeem-ul-Islaam Mufti Allama Hasanain Raza Khan,
(3) Hazrat Maulana Faarooq Raza Khan.

****************
Aap Hazrat Allama Shaah Sayyed Abul Husain Ahmad Noori Barkati Qaadri Marehrawi rahmatullāhi alaihi ke mureed hain.

Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan Bareilwi rahmatullahi alaihi ne Aap ko khilaafat ata farmai thi.

****************
Aap ka wisaal 3 Shawwaal 1326 Hijri (1908 A.D.) ko hua.
Aap ki namaaz e janaaza Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan rahmatullāhi alaihi ne padhaai.

****************
Aap ka mazaar Bareilly (Uttar Pradesh) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Maulana Hasan Raza Khan rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments