HYDER KI SANA HAI
Dewar pe kabay ke yahi saaf likha hai,
Ye khanae kaba ke daraaro ki sada hai .
Haider ki sana hai, Haider ki sana hai 4×
1.Mehfil me milenge tumhe Haider ke diwanay,
Ta hashr qasidoh ke ye goonjengein taranay,
Quraan me her ja mere moula ki sana hai
HAIDER KI SANA HAI ×4
2.Iss zikr se touheed ka irfaan milega...
Quraan bhi aur waris e quraan milega...
Katwa ke zubaa'n apni ye meesum ne kaha hai...
HAIDER KI SANA HAI ×4
3.Hai tera Rajab shaad hai ab sarwar e Zeesha'n,
Aaghosh me Quran ke hai waris e quraa'n,
Ahmed ko duao ka sila khoob mila hai......
HAIDER KI SANA HAI ×4
4.Ahmed bhi bohut shaad hai quran ko padhker
Aata hai nazar chehra e allaha zamee'n per
Gulshan me nabuwat ke naya phul khila hai
NABI APNE BHAI KO HAAYAO PE LENGY
ALI DEKHKER MUSTAFA KO HASENGY
NAZAR AJ AAYEGA QURAA'N PA QURAA'N
(ALI AA RAHE HAI ALI AA RAHE HAI)
Sajda dar e Haider pe sitaray ne kiya hai,
Suraj ko jo paltha de Ali ki ye kala hai,
Maidan ye qaibar ka abhi fatha huwa hai,
Har jinn o bashar dar pe tere aakein khada hai,
Mairaj ke parday me Ali bolraha hai,
Allaha ki aawaz me Haider ki sada hai
HAIDER KI SANA HAI ×4
5.Be jaan butoh ko ye Ali tord ke bolay,
Ye ghar hai khuda ka koi awaz na kholay,
Baita Abu Talib ka teri maut khada hai.....
HAIDER KI SANA HAI
Be hubbe ali hota hai be noor wo chehra
Huqdar hai islye karty hai tabbara
Ghuljao isi ishq me asaan qaza hai.
HAIDER KI SANA HAI ×4
Poora kiya jab midhat e moula ka tarana,
Ab kamra'n hota hai ye Akbar ka qasida,
Har lavz mujhe waris e kaba ki ata hai...
0 Comments