Header Notification

Bibi Fatima Zahra Noha Lyrics


Haye Fatima Zahra, Haye Fatima Zahra Haye Fatima Zahra, Haye Fatima Zahra Haye! Baad baba ke jo guzri woh Musibat sun lo Ya Ali, Fatima Zahra ki, wasiyyat sun lo Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali Parda e shab me meri mayyat uthaana Ya Ali Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali Pasliya tori gayi kayse ye batlaungi me Hashr ke maydaan me bhi is haal me aungi me Haath pehlu se na tum mera hatana Ya Ali Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali Woh musibat aap ne acha huwa dekhi nahi Ab me seedhe haath se tasbih hi parh sakti nahi Aysa Qunfuz ne he mara taaziyana Ya Ali Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali Kehti he Zainab ye mujse dekh kar chehra mera Aap ke rukhsaar par ye neel he kaysa para Me-ne khaya he tamacha mat batana Ya Ali Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali Taziyane ki aziyyat ka uthaana ek taraf Woh tamache, qatl-e-Mohsin, dar jalana ek taraf Sab se mushkil tha magar darbar jana Ya Ali Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali Jab meri talqeen parhna yaad kar lena zara Dar ke ghir ne se mera bazu bhi he tuta huwa Mere shano ko zara dheere hilana Ya Ali Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali Chahe aa jaye qayamat, mujh se ye waada karo Jab talak Maula mere shabbir ki marzi na ho Tab talak mera janaza mat uthaana Ya Ali Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali Jab se aayi hun palat kar fikr he mujh ko yahi Me toh parde me gaye phir bhi za'eefa ho gayi Be-rida darbar he Zainab ko jana Ya Ali Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali Karbala me jab mere mazloom par khanjar chale Pyaas ke aalam me wo ghazi ko jab awaaz de Me bhi aungi waha par, tum bhi aana Ya Ali Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali Haath pehlu par rakhe, boli Takallum Fatima Me dua karti hun tum aameen keh dena zara Jald aaye mere Mehdi ka zamana, Ya Ali Aaj rukhsat ho rahi he tum se Zahra, Ya Ali

Post a Comment

1 Comments