Editors' Choice

दिल के बाज़ार में आक़ा की मोहब्बत लेकर नात - Dil ke bazaar mein Aaqa ki mohabbat lekar Naat

ना’त-ख्व़ा: हज़रत सैफ़ रज़ा कानपुरी

दिल के बाज़ार में आक़ा की मोहब्बत लेकर

उनके दीवाने सभी बैठे हैं जन्नत लेकर

उनको देखेंगे तो महशर में पुकारेंगे सभी

आ गए आ गए सरकार शफा़अ़त लेकर

दिल है बेचैन मदीने में बुला ले आक़ा

मर ना जाऊं कहीं दीदार कि ह़सरत लेकर

खु़द ही आएं या बुलाएं मुझे उनकी मर्ज़ी

मैं तो बैठा हूं तमन्नाए ज़ियारत लेकर

देख कर कहते थे कुफ़्फा़र अ़ली मौला को

ये उतरते ही है मैदां में क़्यामत लेकर

या हुसैन इब्ने-अली उम्र यूं ही कट जाए

अपने चेहरे पे तेरे ग़म की अ़लामत लेकर

फिर क़्यामत में क़्यामत ही क़्यामत होगी

फा़तिमा आईं जो असग़र की शहा़दत लेकर

बेटियां दीन की पर्दों में रहा करती हैं

सय्यदा फा़ति़मा ज़हरा से शराफ़त लेकर

ग़ौसे-आ़ज़म की भला शान कोई क्या जाने

वो: तो मां ही के शिकम से हैं विलायत लेकर

मेरे ख़्वाजा का है ख़्वाजा का रहेगा भारत

वो: तो आए हैं मदीने से हु़कूमत लेकर

खुद पढ़ा देते हैं जो अपने जनाज़े की नमाज़

मेरे साबिर वो: हैं कलयर में करामत लेकर

मेरे मख़दूमे-किछौछा का करम क्या कहना

कोई बीमार हो लौटा है वो: सेहत लेकर

अल्लाह अल्लाह फिलस्तीन के गाज़ी बन्दे

घूमते रहते हैं कांधों पे शहादत लेकर

नफ़रतें हमको सिखाए ना ज़माने वाले

हम तो आए हैं बरेली से मोहब्बत लेकर

देख लो मुफ्ती-ए-आजम को बरेली जाकर

कैसे रहते हैं शरीअ़त में तरीक़त लेकर

उस शरीअ़त के लिबादे में रहे अहिले सुनन

जिस शरीअ़त को चले ताजे-शशरियत लेकर

मैं हूं बीमार मदीने में बुला लो आक़ा

कब तक अज़हर यूं रहे दर्दे-मोह़ब्बत लेकर

______________*****____________

Dil ke bazaar mein Aaqa ki mohabbat lekar

Unke deewane sabhi baithe hain jannat lekar

Unko dekhenge to mahshar mein pukarenge sabhi

Aa gaye aa gaye Sarkar shafa’at lekar

Dil hai bechain Madine mein bula le Aaqa

Mar na jaaun kahin deedaar ki hasrat lekar

Khud hi aayein ya bulaayein mujhe unki marzi

Main to baitha hoon tamannaye ziyaarat lekar

Dekh kar kehte the kuffar Ali Maula ko

Ye utarte hi hain maidan mein qayamat lekar

Ya Husain Ibne-Ali umr yun hi kat jaaye

Apne chehre pe tere gham ki alamat lekar

Phir qayamat mein qayamat hi qayamat hogi

Fatima aayin jo Asghar ki shahadat lekar

Betiyan deen ki pardo mein raha karti hain

Sayyada Fatima Zahra se sharafat lekar

Ghouse-Azam ki bhala shaan koi kya jaane

Woh to maa hi ke shikam se hain wilayat lekar

Mere Khwaja ka hai Khwaja ka rahega Bharat

Woh to aaye hain Madine se hukoomat lekar

Khud padha dete hain jo apne janaze ki namaz

Mere Sabir woh hain Kalyar mein karamat lekar

Mere Makhdoome-Kichocha ka karam kya kehna

Koi beemar ho lauta hai wo sehat lekar

Allah Allah Filasteen ke gazi bande

Ghoomte rehte hain kandhon pe shahadat lekar

Nafratein humko sikhaye na zamane wale

Hum to aaye hain Bareilly se mohabbat lekar

Dekh lo Mufti-e-Azam ko Bareilly jaakar

Kaise rehte hain shari’at mein tariqat lekar

Us shari’At ke libade mein rahe Ahle-Sunan

Jis shari’At ko chale Taaje-Shari’At lekar

Main hoon beemar Madine mein bula lo Aaqa

Kab tak Azhar yun rahe darde-mohabbat lekar


Dil ke bazaar mein Aaqa ki mohabbat lekar

Na’at-Khwan: Hazrat Saif Raza Kanpuri

Comments