Header Notification

Zainab Ka Baba Lyrics | Mesum Abbas | 21 Ramzan Noha 2024 | New Mola Ali Noha

Zainab Ka Baba Lyrics | Mesum Abbas | 21 Ramzan Noha 2024 | New Mola Ali Noha

Noha Credits:
👉Title Noha: ZAINAB KA BABA
👉Reciter: Mesum Abbas
👉Poet: Janab Mazhar Abidi

Audio Credits:
👉Composition: Janab Mazhar Abidi
👉Chorus: Rizwan Mirza - Hasnain Mehdi - Sunny - Shahrukh
👉Audio Recording by M. Hassaan Qureshi / M. Ovais Qureshi (ODS - KHI)
👉Audio Mix/Mastered by M. Omar Qureshi (ODS - KHI)

Video Credits:
👉Dop: Saroj Studio (NJ-USA)
👉Edit: TNA Records
👉Set Design: Shabbir Ali / Zuhair Rizvi
👉SEO Management / Coordinator / Cover Design: Yawer Abbas Damani (YAD Graphics)
👉 Social Media Management: Mussaib Sajjad (Bangalore-IND)
👉 English Translation: Ahmed Virani (USA)
👉Sarparast: Syed Baqar Naqvi (President: Imambargah Dar e Hussain - New Jersey, USA)

Zainab Ka Baba Lyrics | Mesum Abbas | 21 Ramzan Noha 2024 | New Mola Ali Noha - LYRICS 


Aaj Ghar Ghar Mai Matam Bapa Hai
Qatl Zainab Ka Baba Hua Hai

lab pe jibreel ke ye buka hai…

1. kaale kapron mai hain aaj ahle aza
hai labon par sada ya ali eliya 
nauhakhwani kaheen aur kaheen marsiya 
saare alam mai gham ki fiza hai

2. majlison aur julooson mai zikr e ali
rozadaro ki ankhon me gham ki nami 
burhe bache jawaan hain sabhi matami 
rozadaro ke lab par sada hai

3. kale parcham uthaate huay sar ba sar
shahrahon pe nikle sabhi nauhagar 
ek majlis se hai doosri ka safar
haan ye mauhol batlaaraha hai

4. rozadaro ke kandho pe taboot hai
sab hain khooni qaba aur rote huay 
ya ali ya ali ki jo awaaz hai
har azadar ye keh raha hai

5. roke kehte hain hasnain sar peet kar
aayi uneesween ki ye kaisi sahar 
dekha jaata nahi baap ka zakhmi sar 
qabr e zehra mai aaho buka hai

6. roz raaton ko khaana khilaata tha jo 
sab yateemo ke gham ko mitaata tha jo
ab nahi aayega roz aata tha jo
ye sitam bekason par kiya hai

7. baap ke gham me roti hain saidaniya 
khaak uraati hain kehti hain sab betiyan 
zindagi bhar karainge yoon aaho fughaan 
ye qayamat ka gham jo mila hai

8. farshe majlis pe mesum ye nauha karo
jo masayib hain mazhar vo likhte raho
bibi zahra ko ashkon se pursa bhi do
bus ye aghaz e karbobala hai

Post a Comment

0 Comments