Header Notification

21 Ramzan Noha 2024 | Ali Ka Taboot Uth Raha Hai Lyrics| Ali Hasan Jafar | Noha Shahadat Mola Ali 2024

21 Ramzan Noha 2024 | Ali Ka Taboot Uth Raha Hai | Ali Hasan Jafar Noha | Noha Shahadat Mola Ali 2024 | Noha 2024 Shahadat Imam Ali Noha 2024 | Ali Hasan Jafar | New Noha 21 Ramzan 2024 | Shahadat Mola Ali Noha 2024

Title - Farishte Aasu Baha Rahe Hain Ali Ka Taboot Uth Raha Hai
Recited & Composed By - Ali Hasan Jafar
Poetry - Abbas Sirsivi
Audio Recorded By - Ahmad Hussain( Amu Studio)
Audio Mixing & Mastering - Shabih Raza (Studio 92)
Chorus - Team Khuddam Uz Zahra(s.a)
Camera - Rahul Singh Chauhan @GRAFHAGENCYLUCKNOW 
Video Edit - Azmat Hyder @AzadariChittora 
Cover - AHJ Graphics

Lyrics👇

Haye Ali Mola Ali.. 
Mahaul Ghamzada Hua Maahe Siyaam Ka
Dono Jahan Me Sog Hai Pehle Imam Ka

Farishte aa'nsoo baha rahe hen ... Ali ka taboot uth raha hai 
Tadap ke Nauha suna rahe hen .. ali ka taboot uth raha hai.

1-Siyaah kapde siyaah parcham ...
Kahi hai majlis kahi hai matam
Ghamo'n ke manzar bata rahe hen ... Ali ka taboot uth raha hai

2--Ali ko unniswi sehar me...
Lagi Hai Zarbat Khuda Ke Ghar Me
wo gham husaini mana rhe hen .. ali ka taboot uth raha hai...

3-Lahu musalle se beh Raha hai ....
Har ek namazi ye keh Raha hai 
Imam duniya se ja rhe hen. .. ali ka taboot uth raha hai..

Ye ek bacche ne maa se pucha .
Hai sari duniya me kaisa girya 
Ghamo se chehre ate huye hen .
Garebaa'n sabke phate huye hen 
Har ek chehre pa Ranjo gham hai 
Batao Amma ye kiska gham hai 

Tadap ke bete se maa pukari
Ali ka gham hai jahan pa tari 
Hamare Maula ali ke sir per.
Layee ne sajde me taigh maari 
Ye sab jaha ko bata rahe hen 

4-Ghame ali me bapa hai Mehshar
Nikal ke apne gharo se bahar
Sabhi ziyarat ko aa rhe hen ... Ali ka taboot uth raha hai

5-Pasand rab ko hai ye ibadat 
Ham ibne muljim pa karke lanat 
Juluse haidar me ja rhe hen .. ali ka taboot uth raha hai.

6-Koi garebaa'n Jo chaak dekhe .
Sawal karne pa keh do usse 
Yateem hokar dikha rahe hen .. ali ka taboot uth raha hai.

7-Zamana dekhe hai kitni ulfat ..
Pidar ke gham me pisar ki Shirkat 
Alam jari ka utha rahe hen ... Ali ka taboot uth raha hai.

8-Har ek raste har ek gali per ...
Laga ke shab me sabile haidar 
Namaziyo ko pila rhe hen .. ali ka taboot uth raha hai.

Maqta 
Ye haq hai ABBAS zindagi Ka .
Suna ke JAFAR HASAN ye nauha
Zamane bhar ko rula rhe hen .. ali ka taboot uth rahe hain 

Post a Comment

0 Comments