Header Notification

Ayyam e Fatima Noha 2023 | Baba ApKi Zahra Lyrics Ali Mohammad Sultanpuri Nohay | bibi Fatima zhara noha

 

Ayyam e Fatima Noha 2023 | Baba ApKi Zahra | Ali Mohammad Sultanpuri Nohay | bibi Fatima zhara noha

*******************************************************************
Kalam Title | Baba Apki Zahra 
Recited by | Ali Mohammad Sultanpuri 
poet & Composition | Nadeem Abbas Sultanpuri 
Audio | ODS 
Chorus | Rizwan Mirza & Team
Video | Azadari Chitora 
vocal | Amu Studio
________________________________

Ayyam e Fatima Noha 2023 | Baba Apki Zahra Lyrics| Ali Mohammad Sultanpuri Nohay 2023 | bibi Fatima zhara noha | New noha 2023 |


𝗟𝘆𝗿𝗶𝗰𝘀✍️

Haye Zahra(a.s.)Haye Zahra(a.s.)
Baba apki Zahra(a.s.)per kya waqt ye aya hai
Rone pa bhi pabandi hai bin bap ke beti ko yun ummat ne sataya hai
Baba apki Zahra(a.s.) per kya waqt ye aya hai

                           (1)
Bad ap ke kalma goyo ne is darja sitam mujh per dhaye 
Gar din me pade ye ranjo alam wo rat ke jaisa ho jaye
Bas mera khuda hi jane ye bojh ghamo ka kaise Zahra(a.s.) ne uthaya hai

                          (2)
Attarah baras ke sin me hi balon me safedi ayi hai
Hai jism mera sa kham hai kamar kamzor meri binayi hai
Ya shahe madina dekho ummat ne nabizadi ka kya hal banaya hai
                            (3)
Ab baith ke padhti hai zahra(a.s.) mushkil se namaze n bhi baba
Dushwar hua hai us din se kuch der khade rahna mera
Jis din se mere pahlu pe jalte hue darwaze ko ada ne giraya hai
                         (4)
Haye kya ye tha ajre risalat ka ummat se jo paya hai maine 
Kuch neel e nishano n ko ab tak bachcho n se chhupaya hai maine 
Rukhsar hai mera neela zalim ne tamancha aisa chehre pe lagaya hai
                         (5)
Talwar ke qabze se mujh per zalim ne kiya jab se hamla 
Uthte hi nahi dono bazu ek sath namazo n me baba
Dil mera bahut roya hai takbeer ko jab jab maine ek hath uthaya hai
                         (6)
Mai kaise kanhu us dam baba kya beet gayi dil per mere
Jab dekhe zami per bikhre huye tahrere risalat ke tukde
Darbar me tanha maine bikhre huye un tukdo ko chun chun ke uthaya hai
                         (7)
The bain nadeem ek beti ke ye apne pidar ki turbat per 
Hil jati thi qabre paighambar (a.s.) kahti thi ye zahra(a.s.) jab rokar 
Thi ap se ranjish jisko un sab ne mujhe badle me ji bhar ke rulaya hai

Post a Comment

0 Comments