Header Notification

Nohay 2023 | Hussain Ke Deewane | Asim Lilani Lyrics | Muharram New Noha 2023/1445 | hoga ya hussain

 

Nohay 2023 | Hussain Ke Deewane | Asim Lilani | Muharram New Noha 2023/1445 | hoga ya hussain

~-~~-~~~-~~-~--~-~~-~~~-~~-~--~-~~-~~~-~~-~-
Details:
Title: Hussain ke Deewane 
Poetry: Zeeshan Abidi
Composition: Own Rizvi
Chorus: Own Rizvi & Team
Audio: Lawa Studio
Video: The Focus Studio (Safdar Kaleem)
English subtitles: Ahmed Hussein Virani 

Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Mola Hussain ke Aaqa Hussain ke ham hain Deewane Hum hain Parwaney

Mola Charag Hain Ham Is Charag ke Sab hai Parwane

Ham tere azadar hain ye tera karam hai
Duniya me tere naam se ham sab ka bharam hai
Maula tere matam se mere seene me dam hai
Ham khalq hue jiske liye wo tera gham hai
Hoga tera matam 
Har dil me tera gham 
Rahega Hussain

To ibne Ali tu hai Mohammad ka Nawasa
Hai bhai Hassan Maa he teri Fatima Zahra
Behne hain teri Zainab o Kulsoom o Ruqayya
Abbas sa bhai bhi tujhe kehta hai Mola
Qurbaan mera dil
Kya khoob hai tera
gharana Hussain

Tu jispe Karam karde ussey Shah banade
Hur ban ke koi aaye to taqdeer jagade
Tu chahay to fitrus ko bina par ke uraday
Rahib ho sawali to ussay bete dila dey
Maloom hai sabko
Jo mangta tujhse
Milega Hussain

Darta hai Yazid ab bhi tere naam se Mola
Kyu na daray waaqif hai wo injaam hai Mola
Wo isliye aaya hi nahi Shaam se Mola
Islam salamat hai tere kaam se Mola
Ab dono jahan me
Bas naam tera hi
Chalega Hussain

Afsos teri shaan na samja ye zamana
Ham bhool nahi paaye tera Karbala aana
Wo deen bachane ke liye ghar ko lutana
Agosh me Zahra ki tera sar bhi katana
Haan teen dino tak
Tha Karbobala me
Tu pyasa Hussain

Akbar se jawaa laal ki mayyat bhi uthai
Darya pe tarapta raha Abbas sa bhai
Asghar ka gala chida gaya haae Duhai
Qasim ka badan tukre huwa gathri banayi
Jab reh gaya tanha
No laakh ne tujhko
Hay mara Hussain

Bechain hai dil hamko muqaddar se milade
Zaakir hain hame zikr ka bas itna sila de
Tu Asim o Zeeshan ko Zawwar banade
Ek baar hame Roza e Abbas dikhaade
Hum roze pe jaaen
Ghazi ko sunaen
Ye Noha Hussain

Post a Comment

0 Comments