Random Posts

Amma Mera Janaza Lyrics | Hashim Sisters Imam Hussain Noha 2022 | Muharram 1444 | New Nohay 2022 | Karbala

 

Amma Mera Janaza | Hashim Sisters Imam Hussain Noha 2022 | Muharram 1444 | New Nohay 2022 | Karbala

The latest Noha of Muharram 1444 from The Hashim Sisters, "AMMAN MERA JANAZA TEERON PE REHGAYA". 

Matam-e-Hussain. 

Hashim Sisters exclusive Noha lamenting the heart wrenching moments of the martyrdom of Imam Hussain (as). Muharram 2022/1444

Reciters - Hashim Sisters 
Noha Title - Amma Mera Janaza 
Poetry - Molana Subhan Sirsivi 
Composition - Hashim Sisters 
Audio - Purevocal Studios (London, UK) 
Video - Br Morteza & Br Reza
Video Editing - Manzar Zaki 
Album - 2022 / 1444H, Vol. 17
Nohay 2022

Amma Mera Janaza Noha Lyrics Hashim Sisters Imam Hussain Noha 2022

Karbobala me phayla tha her samt shor o shayn
Teero(n) per gir rahay thay rayhwar say Hussain (as)
Ro Ro Kay ker rahay thay Madar say apnay bayn
Saara laho badan ka tu maqtal me beh gaya
Amma(n) mayra Janaza bhi teero(n) pay reh gaya

1) Ankhon se ashk Dill se tapak-ta hai ab lahoo
Amman meri nazar mein andhe-ra hai chaar su
Tan per libaas bhi nahin choreingey yeh adu
 
Amma(n) mayra Janaza bhi teero(n) pay reh gaya
Saara laho badan ka tu maqtal me beh gaya
Amma(n) mayra Janaza bhi teero(n) pay reh gaya

2) Itnay lagay hain teer badan, taar taar hai
Zakhmon mein jalti reyt se dil, beqaraar hai
Moonis faqat Hussain ka par-war digar hai

3) Aankhon ka Noor leygaya Lay-la ka noore ain
Be noor ran mein hogaya am-maan tera Hussain
Marney ke baad bhi, na milayga sukoon o chaiyn 

4) Laasha Hassan ke laal ka paa -maal hogaya
Khoon se libaas shaadi ka sab, laal hogaya
Kubra ke dil ka ghum, se bura haal hogaya 

5) Abbas bhi chala gaya maq-tal mein chor kar
Darya pe soraha hai kamar, meri tor kar
Amaan batado bhaa-i ko darya pe dorkar

6) Teere sitam se sooya hai maq-tal mein sheer khaar
Asghar ki qabr khod ke Roo-i hai zulfiqaar
Dil ko Rabab ke, na milay ga kabhi qaraar

7) Amman sitam garo se bacha, lo Hussain ko
Shimr e laen se barhke chura, lo Hussain ko
Goadi mein phir se ap-ni sulaalo Hussain ko

8) Amman tumharay laal pa hai, waqt yeh kara
Hai shimr apne haathon mein khan-jar lieay khara
Zainab ki be rida-i ka ehsaas hai bara

9) Subhan katt gaya shahe maz-loom ka gala
Roti rahi janazay pa be-tay ke fatima
Ab bhi hai lab pa Ha-shimi behno ki yeh sada

Post a Comment

0 Comments