ham madine se allah kyu.n aa gae
qalb-e-hairaa.n ki taskee.n wahi.n rah gai
dil wahi.n rah gaya, jaa.n wahi.n rah gai
KHam usi dar pe apni jabee.n rah gai
yaat aate hai.n ham ko wo shaam-o-sahar
wo sukoon-e-dil-o-jaan-o-rooh-o-nazar
ye unhi.n ka karam hai, unhi.n ki 'ata
ek kaifiyat-e-dil-nashee.n rah gai
allah allah ! wahaa.n ka sujood-o-qayaam
allah allah ! wahaa.n ka durood-o-salaam
allah allah ! wahaa.n ka wo kaif-e-dawaam
wo salaat-e-sukoo.n aafree.n rah gai
jis jagah sajda-rezi ki lazzat mili
jis jagah har qadam un ki rahmat mili
jis jagah noor rahta hai shaam-o-sahar
wo falak rah gaya, wo zamee.n rah gai
pa.Dh ke nasru-mminallahi-fat.hun-qareeb
jab hue ham rawaa.n soo-e-koo-e-habeeb
barkate.n, rahmate.n saath chalne lagi.n
be-basi zindagi ki yahi.n rah gai
zindgaani wahi.n, kaash ! hoti basar
kaash, Behzaad ! aate na ham lauT kar
aur poori hui har tamanna magar
ye tamanna-e-qalb-e-hazee.n rah gai
0 Comments