You might like

Ramadan 30 Days Of Hadees

0

Ramadan Day 07

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Hadees: Ibn Abbas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke:
❝ Ramzan me Umrah karna RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ke sath Hajj karne ke barabar hai. ❞
📚 Sahih Bukhari 1863

Ramadan Day 06

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Hadees: Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi wasallam) ne farmaya:
❝ Qayamat ke din Roza aur Qur’an sifarish karenge uspe amal karnewale ke haq me. ❞
📚 Musnad Aḥmad 6589

Ramadan Day 05

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
❝ Ramzan ke Mahine me Jannat ke Darwaze khol diye jatey hai, Jahannum ke darwaze band kar diye jatey hai aur tamam Sirkash Jinn aur Shayateen Qaid kar liye jaatey hai.❞
📕 Ṣahih al-Bukhari 1800
📕 Ṣahih Muslim 1079

Ramadan Day 04

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
❝ Ramzan ka wo Mahina jis me Quraan ka Nuzool hua saari Insaniyat ki Hidayat aur Rahnumai ke liye.❞
📕 Surah Baqrah 2:185

Ramadan Day 03

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Hazrate Abdullah bin Umar (R.A) se riwayat hai ke, Rasool’Allah ﷺ ne farmaya:
❝ Islaam ke sutoon paanch (5) hai.” (1). Pehla Ye ke Allah hi ki Ibadat ki jaye aur uske siwa tamaam jhoote khudao ka inkaar kiya jaye, (2). Namaaz parhna, (3). Zakaat dena, (4). Baitullah ka Hajj karna aur (5). Ramzan ke Roze rakhna. ❞
📕 Sahih Muslim Sharif
📕 Riyad as-Salihin; Arabic Book 9, Hadith 1206

Ramadan Day 02

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
✦ Roman Urdu ✦
Abu huraira (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (Sallallhu Alaihi Wasallam) ne farmaya:
❝ Jisne Imaan ke saath Sawab ki niyat se Ramzan ke Roze rakhe uske pichle saare Gunaah bakhsh diye jayenge.❞
✦ हिंदी हदिस ✦
अबू हुरैरा (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूलअल्लाह (सललल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया:
❝ जिसने ईमान के साथ सवाब की नियत से रमज़ान के सरे रोज़े रखे उसके पिछले सारे गुनाह बख़्श दिए जाएँगे।❞
✦ English Hadith ✦
It was narrated from Abu Hurairah (R.A) that the Messenger of Allah peace be upon him said:
❝ whoever fasts Ramadan out of faith and the hope of reward will be forgiven his previous sins.❞
📕 Sunan Ibn Majah, 641-Sahih

 Ramadan Day 01

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Allah Rabbul Izzat Qurane Kareem me farmata hai:
❝ Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye,
jaise tumse pichali Ummato par humne farz kiye they
ta’ake kahi tum Taqwa(Parhezgaari) ikhtiyar karo.❞
Tags

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

About Us

Light Speed Template is Designed Theme for Giving Enhanced look Various Features are available Which is designed in User friendly to handle by Piki Developers. Simple and elegant themes for making it more comfortable