21 Ramzan Noha 2022 | Shaheed Hogaye Ali | Syed Ahsan Abbas Baquri - Shahadat Mola Nohay | Imam Ali
•Title: Shaheed Hogaye Ali as
•Reciter: Syed Ahsan Abbas Baquri
•Poet: Janab Mohsin Abbas Rizvi
•Chorus: Khan Brothers
•Audio & Mixing: ODS (KHI)
•Video: SAAB PRODUCTIONS
•Editing: JQ PRODUCTIONS
•CREATIVES: Ali Abbas (SAAB productions)
•Media Partner: SNS AZADARI
•English Translation: Ali Abbas (Lucknow)
•SPECIAL THANKS: Syed Raza Hussain lutfi.
21 Ramzan Noha 2022 | Shaheed Hogaye Ali | Syed Ahsan Abbas Baquri - Shahadat Mola Nohay | Imam Ali Noha Lyrics
Zainab pukaarti haiN ke baaba na jaaiye
sab ahl e bait khaak saroN par udhaate haiN
rota hai sar ko peet ke kunba imaam ka
bete Ali ka aaj janaaza uthaate hai
Hasan ke lab pe hai sada shaheed ho gaye Ali shaheed ho gaye Ali
Koi Nahi Ba juz Khuda shaheed hogaye Ali shaheed hogaye Ali
1.Hasnain ko falak ne kaise ye din dikhay
Ghut Ghut ke rorahe hain Abbas sar jukay
sitam ye kaisa ho gaya shaheed ho gaye Ali
2.Shere khuda ke sar se kitna lahu baha hai
masjid bhi ro rahi hai kaaba bhi ro raha hai
khuda ke ghar me khooN baha shaheed ho gaye Ali
3.kulsoom keh rahi haiN aaNkhe to apni kholo
Zainab pukaarti hain beti se kuch to bolo
har ek samt hai aza nazar shaheed ho gaye Ali
4.Ummat se sayyadoN ko phir aaj gham mile haiN
kaise sambhaale fizza bacche tadhap rahe haiN
nahi hai koi aasra har shaheed ho gaye Ali
5.Arz o falak pa haaye mehshar bapa hua hai
mehraab kaaNpti hai mimbar laraz raha hai
ibaadateN haiN ghamzada shaheed ho gaye Ali
6.zehra ka gham hai taaza khooN jo rula raha hai
us par ali ka saaya bhi sar se uth gaya hai
nabi ka phir se ghar luta shaheed ho gaye Ali
7.EkkeesweeN ka manzar Shabbar se koi pooche
kaise uthaaya laasha Sarwar se koi pooche
pisar yateem ho gaya shaheed ho gaye Ali
8.Taaboot uth raha hai Mushkil Kusha ka haaye
jinn o malak bhi saare chalte haiN sar jhukaaye
Namaaz ka hai marsiya shaheed ho gaye Ali
9.Mohsin bayaN ho kaise wo haulnaak manzar
Ahsan ke hai laboN par bas haaye haaye haider
qalam bhi karta hai buka shaheed ho gaye Ali
0 Comments