Header Notification

Mere Haider Ki Baat Alag Hai Lyrics - 13 Rajab New Manqabat 2022 | Syed Raza Abbas Zaidi | Mola Ali Manqabat | 1443


Mere Haider Ki Baat Alag Hai - 13 Rajab New Manqabat 2022 | Syed Raza Abbas Zaidi | Mola Ali Manqabat | 1443

Mere Haider Ki Baat Alag Hai Lyrics In Urdu Text Manqabat

کب میں کہتا ہوں علیؑ مجھکو خدا لگتا ھے
پھر بھی دنیا کو مرا عشق برا لگتا ھے
میں نے بس اتنا کہا بعدِ خدا بعدِ نبیؐ
ہاں مرا مولا علیؑ سب سے جدا لگتا ھے

حیدرؑ کی بات الگ ہے

مریم کو بیت المقدس سے باہر بھیجا تھا جب کبریا نے
یہ گھر ولادت کا مرکز نہیں ہے جاؤ یہ بولا خدا نے
آئی جب  تیرا  رجب
خود یہ کہنے لگا رب
آئیے بنتِ اسد صلے علیٰ کہا میرے
حیدرؑ کی بات الگ ہے

پہنچے جو معراج پرمصطفیٰ تو پردے سے آواز آئی
اے میرے محبوب میری محبت تمکو یہاں کھینچ لائی
جب وہ آواز سنی 
آگئے یاد علیؑ
تھی محمدؐ کے لبوں پر یہ صدا میرے
حیدرؑ کی بات الگ ہے

یہ ذالفقارِ علیؑ جانتی ہے چلنا ھے کس پر کہاں سے
مرحب کا سر کاٹنے کیلئے جب حیدرؑ نے کھینچا مَیاں سے
چوم کر دستِ جلی
بول اُٹھی تیغِ علیؑ
آج آئیگا کٹائی کا مزہ میرے
حیدرؑ کی بات الگ ہے

خیبر سے جب آئے شیرِ خدا تو زہراؑ سے تلوار بولی
ایسے کلائی چلائی علیؑ نے میدان میں اے سہیلی
سر سے مرحب کے چلی
فرش پر آکے رکی
کاٹ کے اس کا بدن میں نے کہا میرے حیدرؑ کی بات الگ ھے

کوئی شبیہہِ محمدؐ نہیں تھا سارے عرب کہیں پر
بستر پہ اپنے علیؑ کو سلاکر بولے نبیؐ مسکراکر
اب نہ سمجھے گا کوئی
یہ نبیؐ ہیں یا علی
وقتِ ہجرت یہ محمدؐ نے کہا میرے حیدرؑ کی بات الگ ہے

سنکرعلیؑ کی ولایت کا اعلاں حارث نبیؐ سے یہ بولا
مجھ پر عذابِ خدا آپڑے گر ھے یہ علیؑ سبکا مولاؑ
سر پہ کنکر جو لگا
آئی حارث کو قضا
جتنے منکر تھے اُنہیں کہنا پڑا میرے حیدرؑ کی بات الگ ھے

بولے محمدؐ کے سلمان جاؤ اور سبکو پابند کردو
جتنے بھی دروازے مسجد کے اندر کھلتے ہیں سب بند کردو
یہ بھی کہدینا زرا
ہے یہی حُکمِ خدا
بند نہ ہوگا درِ شیرِ خدا میرے حیدرؑ کی بات الگ ہے

غازیؑ کی چوکھٹ پہ بیٹھے ہوئے تھے ہونٹوں پہ بس یہ دعا تھی
اے مولاؑ عباسؑ ہم پر کرم ہو مدحت کریں مرتضٰیؑ کی
ابھی جاری تھی دعا
ہوگئی ہم پہ عطا
ملکے کہنے لگے ذیشان و رضا میرے حیدرؑ کی بات الگ ہے
-----------------------------------------------------------------------------------

Mere Haider Ki Baat Alag Hai Syed Raza Abbas Zaidi Lyrics

Mere Haider Ki Baat Alag Hai Syed Raza Abbas Zaidi.

Kab Main Kehta Hoon Ali Mujh Ko Khuda Lagta Hai.
Phir Bhi Dunya Ko Mera Ishq Bura Lagta Hai.
Main Ne Bas Itna Kaha Bad-e-Khuda Bad-e-Nabi.
Haan Mera Maula Ali Sab Se Juda Lagta Hai.

Haan Mera Naaz Hai Yeh Mera Humraz Hai Yeh.
Iss Ki Khilqat Pe Khuda Kehne Laga.

Mere Haider Ki Baat Alag Hai.

Mariyam Ko Bait Al-Maqadas Se Bahir Bhaija Tha Jab Kibriya Ne.
Yeh Ghar Wiladat Ka Markaz Nahi Hai Jao Yeh Bola Khuda Ne.
Aayi Jab Tera Rajab Khud Yeh Kehne Laga Rab.
Aaiye Bint-e-Asad Salay Ala.

Pohanchay Jo Mairaj Par Mustafa Tu Parday Se Aawaz Aayi.
Aye Mere Mehboob Meri Muhabbat Tum Ko Yahan Khainch Layi.
Jab Woh Aawaz Suni Aa Gaye Yaad Ali.
Thi Muhammad Ke Labon Par Yeh Sada.

Mera Dil Kya Meri Dharkan Ki Tamana Hai Ali.
Jo Meri Soch Se Bala Hai Woh Maula Hai Ali.
Sab Se Aala Hai Nirala Hai Misali Hai Ali.
Jis Ka Abbas Hai Beta Woh Jalali Hai Ali.
Koi Be Zar Jo Chala Aaye Tu Abuzar Kar De.
De Jo Parwaz Tu Shahbaz Qalandar Kar De.
Kab Main Kehta Hoon Keh Salman Bana De Maula.
Keh Do Meesum Se Mujhe Ishq Sikha De Maula.
Chahe Kat Jaye Zabaan Ruk Na Paye Yeh Azaan.
Daar Par Doon Yeh Sada.

Yeh Zulfiqar-e-Ali Janti Hai Chalna Hai Kis Par Kahan Se.
Marhab Ka Sar Katne Ke Liye Jab Haider Ne Khaincha Maiyaan Se.
Chom Kar Dast-e-Jali Bool Uthi Taig-e-Ali.
Aaj Aaye Ga Katayi Ka Maza.

Khaybar Se Jab Aaye Shair-e-Khuda Tu Zahra Se Talwar Boli.
Aisay Kalai Chalai Ali Ne Maidan Mein Aye Saheli.
Sar Se Marhab Ke Chali Farsh Par Aa Ke Ruki.
Kaat Ke Oss Ka Badan Main Ne Kaha.

Man Kuntu Maula Ka Ayelan Sun Kar Chilla Ke Haris Yeh Bola.
Mujh Par Azab-e-Khuda Aa Paray Ga Hai Yeh Ali Sab Ka Maula.
Sar Pe Kankar Jo Laga Aayi Haris Ko Qaza.
Jitnay Munkir They Unhein Kehna Para.

Bolay Muhammad Ke Salman Jao Our Sab Ko Paband Kardo.
Jitnay Bhi Darwazay Masjid Ke Andar Khultay Hain Sab Band Kardo.
Yeh Bhi Keh Dena Zara Hai Yehi Hukam-e-Khuda.
Band Na Hoga Dar-e-Shair-e-Khuda.

Jab Hoi Jang-e-Ohad Keh Ke ALLAH Madad Pohanchay Maidaan Mein Muhammad Tu Yeh Lashkar Se Kaha.
Jao Sab Apni Jagah Our Suno Hukam Mera Jab Talak Main Na Kahon Chorna Mat Apni Jagah.
Yeh Magar Ho Na Saka Jhota Ayelan Howa Mustafa Marey Gaye Jab Yeh Lashkar Ne Suna.
Bhool Gaye Apna Sharf Bhagay Sab Ghar Ki Taraf Jab Hoye Tanha Nabi Shair Khuda Ka Pohancha.
Arsh Se Talwar Chali Bas Yeh Sada Deti Hoi La Fata Illa Ali Phir Ali Aisa Laray.
Ran Mein Dushman Na Rukay Ghar Jo Bhagay They Woh Laute Tu Muhammad Ne Kaha.
Chori Kyun Tum Ne Jagah Tu Bhagoron Ne Kaha Jan Pyari Thi Yahan Ruktay Tu Kha Jati Qaza.
Bolay Haider Se Nabi Tum Kyun Gaye Na Ali Tu Ali Kehne Lagay Jab Sada Aayi Mujhe Mustafa Marey Gaye.
Tu Mere Dil Ne Kaha Aaj Sab Khatam Howa Jab Muhammad Hi Nahi Jeene Ka Maqsad Hi Nahi.
Sun Ke Yeh Bolay Nabi Wah Kya Kehne Ali Phir Bhagoron Se Muhammad Ne Kaha.

Ghazi Ki Chokhat Pe Baithay Hoye They Honton Pe Bas Yeh Dua Thi.
Aye Maula Abbas Hum Par Karam Ho Midhat Karein Murtaza Ki.
Abhi Jari Thi Dua Ho Gayi Hum Pe Atta.

Mil Ke Kehne Lagay :ZEESHAN:-o-:RAZA:.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Manqabat Khuwan: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Manqabat Volum: :Syed Raza Abbas Zaidi 2021-22:
Composition: :Syed Raza Abbas Zaidi:
#MereHaiderKiBaatAlagHai
#ManqabatLyrics
#Naatandnoha

Post a Comment

0 Comments