Header Notification

13 Rajab Manqabat 2022 | Koi Ek Bata Koi Lyrics | Ameer Hasan Aamir Manqabat 2022 | Manqabat Mola Ali

13 Rajab Manqabat 2022 | Koi Ek Bata Koi | Ameer Hasan Aamir Manqabat 2022 | Manqabat Mola Ali 2022

           🎞V I D E O I N F O🎞
►Title - 13 Rajab New Manqabat 2022 Ameer Hasan Aamir | New Manqabat2022 | New Qasida 2022 | Koi Ek Bata Koi Ek Dikha
►Reciter - Safeer E Aza, Syed Ameer Hasan Aamir
►Poet - Shanawar Makanpuri
►Chorus - Own Rizvi & Sangat
►Year - 2022/1443 Hijri
►Audio - ODS (Audio Mix & Master Omar Quraishi)
►Video - Azmat Haider
►Production - Azadari Chitora
►Label- AHA Records 

Koi Ek Bata Koi Lyrics

Ali Ki Aabru Quraan Ki Satar Hain
Aur Mera Quraan Ali Ka Chehra Hai
Agar Jannat Se Mujko Guzara Jaye To Main Razi Nahi
Mere Liye Ali Ki Gali Hi Jannat hai
سَطْرِ قُرْان اَسْت اَبْروُئے على
مُصْحَفِ باَ شَدْ مُراَ رُوْئے على
گَرْ باَجَنَّتْ بَگُزْرَمْ رَاضِيِْ نَيَمْ
جَنَّتِ.باَشَدْ.مُرَا.كوُئے على

(زندہ.شاہ. مدار)
(Syed badiuddin zinda shah Madar R .A)

Saifullah - Hyder
Asadaullah - Hyder
Sultane Alam - Hyder
Sardar E Azam Hyder
Momin Ka Naara Hyder
Hum Sab Ka Sahara Hyder

Hyder Sa Hona Na Mumkin
Hyder Sa Milna Na Mumkin*2

Aye Dushman E Hyder Saamne Aa
Koi Ek Dikha Koi Ek Bata*2

Hyder Ki Tarha Hyder Ke Siwa Koi Ek Dikha Koi Ek Bata

Aye Dushman E Hyder Saamne Aa
Koi Ek Dikha Koi Ek Bata*2

1)moujood Hai Lakhon Ka Majma Par Kisko Mila Hai Aisa Sharaf 
Bana Kaun Wilayat Ka Mehwar Hasil Hai Kise Moula Ka Sharaf *2
Aati Hai Ghadeer E Khum Se Nida Koi Ek Dikha Koi Ek Bata

Aye Dushman E Hyder Saamne Aa
Koi Ek Dikha Koi Ek Bata*2

2)gar Aisa Zamane Mein Ho Huwa 1400 Baras Se Aajtalak
Hyder Ke Siwa Batla To Zara Yeh Pooch Raha Jhuk Kar Hai Falak
Jiske Liye Suraj Ho Palta Koi Ek Dikha Koi Ek Bata

Aye Dushman E Hyder Saamne Aa
Koi Ek Dikha Koi Ek Bata*2

3)marhab Bhi Huwa Hai Do Tukde Jab Ghaiz Ki Had Baqi Na 
Yun Dekha Jo Zor E Hyder Ko To Taabe Khirad Baqi Na Rahi*2
Phir Joshe Junoone Yeh Poocha Koi Ek Dikha Koi Ek Bata

Aye Dushman E Hyder Saamne Aa
Koi Ek Dikha Koi Ek Bata*2

4)laraib Ke Shah E Marda'n Ka Hai Sar Pe Us Ke Taaj Saja
Ek Khandaq E Badr Ka Zikr Hi Kya Har Maiyar Ke Us Ne Hai Jeeta *2
Is Zaigham E Yazdan Ke Jaisa Koi Ek Dikha Koi Ek Bata

Aye Dushman E Hyder Saamne Aa
Koi Ek Dikha Koi Ek Bata*2

5)tareekh Ke Aaine Me Nazar Aiyega Tujhe Woh Sab Manzar
Bas Ek Siwaye Hyder Ke Tha Kaun Nabi Ke Bistar Par*2
Le Padh Shab E Hijrat Ka Qissa Koi Ek Dikha Koi Ek Bata 

Aye Dushman E Hyder Saamne Aa
Koi Ek Dikha Koi Ek Bata*2

6)yeh Sochna Bhi Na Mumkin Hai Jis Jung Me Hyder Shamil Ho
Kuffar Ke Larze Hon Na Qadam Aur Jeet Na Usko Hasil Ho
Tareekh Me Ho Aisa Ghazwa Koi Ek Dikha Koi Ek Bata

Aye Dushman E Hyder Saamne Aa
Koi Ek Dikha Koi Ek Bata*2

7)duniya Ke Sikandar Se Hain Siwa Damad E Payambar Ke Sail
Miqdad O Abuzar Aur Qambar Jibrail Hain Hyder Ke Sail*2
Ho Aisa Sakhi Aisa Daata Koi Ek Dikha Koi Ek Bata

Aye Dushman E Hyder Saamne Aa
Koi Ek Dikha Koi Ek Bata*2

8)har Ek Muarrikh Ne Likkha Taareekh Ke Lafzon Ne Yeh Kaha
Yeh Loh O Qalam Bhi Bol Uthe Khud Khana E Kaaba Ne Di Sada*2
Ho Doosra Moulood E Kaba Koi Ek Dikha Koi Ek Bata

9)kuch Tarze Bayan "Aamir" Mein Nahi Likhne Se Shanawar Qasir Hai
Jis Naam Ka Duniya Wird Kare Quraan Bhi Jiska Zakir Hai*2
Mazkoor Ho Gar Haider Jaisa Koi Dikha Koi Ek Bata

Aye Dushman E Hyder Saamne Aa
Koi Ek Dikha Koi Ek Bata*2

Post a Comment

0 Comments