AMMA TERY BAGHAIR NA JEE PAYEGA HUSSAIN (a.s) | Ayyam E Fatmiyah (s.a) | 2022/1443 | Farhan Razvi
Reciter: Farhan Razvi
Poet: Sajjad Ali Arsh
Composition: Mesum Zaidi
Chorus: Mesum Zaidi & Mohsin Hashmi
Audio: LAWA Studio
Video: Syed Ali Meesum Abidi
Edit & Graphics: Minhaj Ahmed
Translation: Farnaz Mirza
Background Support: Mir Mohd Ali Rizwan (APS)
Kumail Ali (AHD)
Syed Ali Meesum Abidi
Media Partner: Azadari Hyderabad
Presented by: Guroh E Asghar E Besheer (a.s)
AMMA TERY BAGHAIR NA JEE PAYEGA HUSSAIN LYRICS
Amma terey baghair na jee payega hussain
Ro ro kay Teri yaad may marjayega hussain
1)Amma badhakey haath bulalo bas ek baar
Betey ko apney dil say lagalo bas ek bar
Godi may Teri aakay sukoo'n payega hussain
2)Amma mai jab bhi rota to behlati thi mujhey
Pehlu jo Tera milta to neend aati thi mujhey
Ab neend aayegi toh kaha jayega hussain
3)Pehlu pa teray jalta huwa dar giradiya
Kisnay dar o deewar may tujhko dabadiya
Turbath pay jakay Nana ko bathlayega hussain
4)Tehreer Nana jaa'n ki sitamgar ney phadhkar
Chinna fedak sitam Kiya aaley rasool par
amma ye zulm kaisey bhula payega hussain
5)Amma tumhari yaad bohath aayegi mujhey
Bechain kartay jayeegi rulwayegi mujhey
Kistarha apney ap ko behlayega hussain
6)Hojayega badan mera zakhmo'n say choor choor
Meri madad kay wastay aajana tum zaroor
Ghoday say jalti rayth pay jab aayega hussain
7) Ek taqt nashee'n phir se mujhey yaad aayega
Leker tumhara naam wo Mujhko rulayega
Darbar noukey naiza pay jab jayega hussain
8)Sab kar rahay hai aakhri deedar apka
Aai ammajaan betay ko awaaz do zara
Jab tak nahi bulaogi na aayega hussain
9)Yeh sunkey fugha'n bandey kaffan tootney lagey
Zehra kay dono haath kafan say nikalpadey
Maa say lipath kay aarsh sukoo'n payega hussain