Zikr Allah Bande Ko Allah Ka Mehboob Bana Deta Hai, This video is a beautiful motivational video is Another good informative video about, Zikr Allah Bande Ko Allah Ka Mehboob Bana Deta Hai. Zikr Allah or Dhikr Allah or Allah ka Zikr or Zikr of Allah, also literally means remembrance of Allah, and Zikr means (remembrance, mention, or utterance) and is a ritual prayer or ritual practiced by Muslim Sufi mystics Sufism with the aim of glorifying Allah and attaining spiritual perfection. Meditation is a method a Sufi mystic can use to seek unity with God.
-AJ hum bat karte hain Zikr Allah ke bare mein ke Allah Ka Zikr bande ko Allah ka Mehboob bana deta hai. Zikr Allah Khuda se Mohabbat kara deta hai, Zikr Allah insan ko Allah ki qurbat ata kar deta hai, Zikr Allah, Allah ka Mehboob bana deta hai. Hadees e Mubarka Hazrat Abu Horaira RaziAllah Anh se riwazat hai Rasool Allah (SAW) irshad farmaya: Jis ne Ajzi ikhtiyar ki Allah taala usay Buland kare ga. Jis ne miyana ravi ikhtiyar ki Allah Taala usay ghani kare ga, aur jis ne Allah ka Zikr kiya, Allah usay apna Mehboob bana lega. Yani ke Allah Taala ne apna Mehboob banane ka nuskha bata diya. Aur is ki tashreh Peeran e Peer Hazoor Ghous Pak farmate hain: Sahbzada agar tu zuban se Zikr kare ga to Taib kehlay ga, yani Touba karne wala, agar tu Qalb se Zikr kare ga, to phir Saliq kehlay ga, yani ke Zakir kehlay ga, agar apne Batin se Zikr kare ga to Arif kehlay ga, agar 7 Lataif ka Zikr kare ga to arif kehlay ga, aur jab tu sune ga ke Allah tera Zikr kar raha hai to tab tu Mehboob kehlay ga. Jis ke liye Allah Pak ne Quran e Pak mein farmaya: Tu mera Zikr kar main tera Zikr karon ga. Shah Abdul Latif Bhitai se pocha gaya ke is waqt Allah kya kar raha hai? To ap ne farmaya ke "Huq Latif", "Ya Latif" kar raha hai. to unhon ne kaha ke Allah ko kiya zarorat Zikr karne ki, Allah ko kiya zarorat hai ap ke Naam ka Zikr karne ki, to ap ne Quran ki ayat parhi jis ka tarjama hai ke Allah farmata hai ke tu mera Zikr kar Main tera Zikr karon ga. Mera Batin mera Qalb is waqt Allah, Allah kar raha hai, aur wo Huq Latif, Ya Latif ka Zikr kar raha hai. Aur yehi Nuskha Peeran e Peer Hazoor Ghous Pak ne Farmaya: ke Jab tu sune ga ke Allah tera Zikr kar raha hai, tab tu Mehboob kehlay ga. Aur yehi bat Hazoor Pak (SAW) ne farmai: ke jis ne Allah Ka Zikr kiya, Allah us ko apna Mehboob bana lega. Hazoor Ghous Pak ne jo nuskha diya ke Zikr pehle Zuban se hota hai phir dil se phir Batin se. Aur Batin ki ibtadai stage kya hai? Batin ka ibtadai marhala jo hai wo Qalb hai, Qalb ne Zikr karna shoro kar diya to phir ahista ahista Rooh ne Zikr karna shoro kar diya, phir Batin ke 7 Latiaf Zikr karna shoro kare gay, us ke bad Mehboob hone ka darja hai ke banda phir khud sune ga ke Allah us ke Naam ka Zikr Kar raha hai, tab Banda Mehboob kehlata hai. Agar ap mutlashi hai Talib hai Allah ke Mehboob Banne ke, to ap ko Allah ka Zikr (Zikr Allah) karna pare ga, zuban se nahi balke Dil ki dharkan mein Allah ka Zikr karna pare ga tabhi ap Allah ke Mehboob ban sakte hain.
0 Comments