Header Notification

Ya Mohammad Mustafa Lyrics Rabiul Awwal Kalam | Ali Raza Irani | New Naat Ya Mohammad Mustafa | 2021 | 1443

 

Ya Mohammad Mustafa | Rabiul Awwal Kalam | Ali Raza Irani | New Naat | 2021 | 1443

Ya Mohammad Mustafa | Rabiul Awwal Kalam | Ali Raza Irani | New Naat | 2021 | 1443
Video Details:
👉🏻Title : Ya Mohammad Mustafa
👉🏻Reciter : Ali Raza Irani 
👉🏻Poet : Mazhar Lucknowi
👉🏻Backing Vocals : Rizwan Mirza & Team
👉🏻Audio Vocal: S K Studio
👉🏻Audio Recording : Owais Quraishi
👉🏻Mix/Mastered : M. Omar Qureshi (ODS)
👉🏻Camera : Hajari Films
👉🏻Video Edit : Mazhar Lucknowi (New Track Studio)
👉🏻Label: Ali Raza Irani
Special Thanks To All My Team Who Supported Me.

Ya Mohammad Mustafa Lyrics English Text

KALAM LYRICS 

Ya mohammad yamohammad mustafa
Ya mohammad yamohammad mustafa

Aap ki khilqat hui hai noor se 
Aap par qurbaan jalwe toor ke 
Ho gaye mukhtar jo majboor the
Ye karam hai aap ka shahe huda

Rahmate nazil hui aai bahaar 
Ho gaye wo shaad jo the dil figar
Aap ne aakar kia aysa hisaar
Kar dia har ek bala ka khatma

Aap ka husne amal hai bemisal 
Aap rakhte hain sada sab ka khayal 
Aap ko rab ne dia aysa jamaal
Husne yusuf dekh ke shaida hua

Jism noori payrahan bhi noor ka
Hai amama noor ka noori asaa
Aap ka daste karam daste shifa
Aap jaisa koi banda hai na tha

Aap hain shaqqul qamar khairul bashar
Aap hain yasin shahe bahro bar
Aap ka hai y4e tarruf mukhtasar
Har nabi se aap ka rutba siwa

Rahmatullil aalameen khairul anaam 
Aap aalim aap hain aali maqaam
Aap se zarre bhi karte hai kalaam 
Sare aalam ne ye dekha mojiza

Aap jis dam arsh par pahuche nabi
Thi pase parda wo hasti kon thi
Kis ke lahje me khuda ne baat ki
Ye zamane ko bata deeje zara

Aap ki dukhtar hai khatoone jina
Aap ke farzand imame do jahan
Aap ka ghar is zameen par aasma
Aap ka saya aliye murtaza

Wo madina jo jina ka baab hai 
Deed ko uski ye dil betab hai 
Ek haqiqat wo bane jo khwab hai
Shahre yasrab me bhi ek ghar ho mera

Waasta hai aapko shabbir ka 
Ya nabi mahdi hasan mazhar raza
Jaaye taiba naat padhne baarha
Hai hamari ye dua ye ilteja

Post a Comment

0 Comments