Header Notification

Ji Bhar Ke Tera Gham Na Manaya HAi Aye Hussain Lyrics | Anjuman Sajjadiya Jalalpur | 26 Safar 2021 Khaspur Tanda Ambedkarnagar | Alvidai Noha 2021

 

Ji Bhar Ke Tera Gham Na Manaya HAi Aye Hussain | Anjuman Sajjadiya Jalalpur | 26 Safar 2021 Khaspur
Title - Is Baat Ne Bhi Hamko Rulaya Hai Aye Hussain
Ji Bhar Ke Tera Gham Na Manaya Hai Aye Hussain
Releated - Shashmah-e-Mujahid Ka Matam
Nizamat - Shan Azmi
Reciter - Anjuman Sajjadiya Jalalpur (Dr. Aftab Raza Jalalpuri)
Venue - Khaspur Tanda Ambedkarnagar
Date - 26 Safar 1443/2021
Organizer - Anjuman Zulfeqariya Khaspur Tanda Ambedkarnagar
Video By - Azadari Chitora

Is Baat Ne Bhi Hamko Rulaya Hai Aye Hussain Lyrics


Is baat ne bhi humko rulaya hai ay Husain a.s,
Ji bhar ke tera gham na manaya hai ay husain a.s,

Viraan bastiyan hyn fezayen khamosh hyn,
Gham mausame aza pe bhi chhaya hy ay Husain a.s

Majboor kitne usko bhi kandha na de sake,
Taboot yun tumhara uthaya hy ay Husain a.s,

Matam ka shor hy na julooson ki ahatain,
Sunsan raston ne sataya hy ay Husain a.s

Ankhen musafiron ko bahut dhondhti rahin,
Jis waqt imam bada sajaya hy ay Husain a.s,

Dil fat gaya kate hue shano ki yaad se,
Abbas ka Alam jo uthaya hai ay Husain a.s,

Pani ke sath khoon dile Abbas ka baha,
Ek teer mashk par jo lagaya hy ay Husain a.s

Ya Husain alwida-4

Aap aye aur chale bhi gaye kuchh khabar nahi,
Ab tak Muharram aisa na aya hai ay Husain a.s,

Ya Husain a.s. alwida-4

Jo hum se ho gayi ho khata kijiye muaaf,
Hum par azaab uska hi aya hai ay Husain a.s,

Ya Husain a.s alwida-4

Mushkil me hy Nazeer kahe kisko alwida,
Lagta hy ghar me koi na aya hy Husain a.s

Post a Comment

0 Comments