Header Notification

Zikr E Qalbi Ko Kya Fazilat Hasil Hai?!!!

 

Zikr E Qalbi Ko Kya Fazilat Hasil Hai, This video is a beautiful motivational video Another good informative video about, Zikr e Qalbi Ko kya Fazilat Hasil hai. What is Zikr e Qalbi? Zikr E Qalbi: pronunciation or dhikr and the heart is in the heart. My heart spoke of remembrance of Allah in the heart. Oral Zikr in Islam is also called Zikr e khafi or Zikr e Lataif. The meaning of Zikr e Jahr is language, so voice Zikr is classified under Zikr e Jahr of language. Examples include mentioning the two syllables of the Azan, prayer, prayer, etc. As for silent Zikr, it is like Zikr of the heart, that is, Zikr that occurs in the heart. As mentioned above, the word meaning the heart is Qalbi, but Silent Zikr and Zikr e Khafi are the other two terms used in Qalbi Zikr or Zikr e Qlabi. All these terms fall under the category of Daimi Zikr.

-Aj hum bat karte hain Zikr e Qalbi ke bare mein, bat karte hain Zikr e Khafi ke bare mein, bat karte hain Zikr e Lataif ke bare mein. Hadees e Mubarka hai: Hazrat Ayesha Siddiqa Razi Allah Tala se riwayat hai, Rasool Allah (saw) ne Irshad farmaya: Wo Zikr jis me Muhafiz, Yani ke Karaman katbeen, wo Zikr jise Muhafiz nahi sunte us Zikr par 70 guna Fazilat rakhta hai jisay Malaika munte hain. Yani ke jo Farishte sunte hain wo zikr kon sa hai? Jo ap zuban se Zikr karte hain wo farishte sunte hain us ko Zikr e Jahr kehte hain aur Zikr Jahr Buland awaz mein zuban se kiya jata hai. Wo Zikr kon sa hai jis ko farishte sun hi nahi sakte? Us Zikr ke bare mein ya ap jante hain ya phir Allah janta hai. Aur us Zikr ko 70 guna Fazilat bhi hai Zuban se. Aur Perane Peer Hazoor Ghous Pak farmate hain ke sahbzada zuban se tu 70 bar Zikr kar aur dil se aik bar Zikr kar, wo aik bar ka Zikr karna behtar hai. Yani ke jo dil ki dharkan ap ki Zikr kare, Qalb aik mahkhloq hai jis tarhan Rooh aik makhloq hai isi tarhan Qalb bhi aik makhloq hai. Agar wo jism se bahir nikal jaye aur Zikr kare, wo farishton ko pata hi nahi hai. Kyun ke Qalb ki rasai wahan tak jahan tak farishte bhi nahi ja sakte. Agar ap ke dil ki Dharkan Zikr kar rahi hai, Allah Hoo, Allah hoo, Allah hoo to farishton ko ye bhi khabar nahi hai, aur zikr ko Zikr e Qalbi or Qalbi zikr, or Zikr e Khafi or Silent Zikr bhi kehte hain. Isi liye Zikr e Qalbi ko aur Azkar se ziyada Fazilat hai, aur jo log dil se Zikr kare hain un ko Zakir e Qalbi kehte hain. Aur Zakir e Qalbi wo hote hain jin ke dil ki dharkan Allah ka zikr karte ho, Isi liye Allah Insan mein us ki rangat ya shakal surat nahi dekhta Allah insan mein us ka dil dekhta hai aur Allah ka wo dil pasand hai jo Allah ka Zikr karta ho, aur dil se Allah ka Zikr karne ko hi Zikr e Qalbi ya Qalbi Zikr kaha jata hai. To koshish kiya karo mere dosto ke apne dil ki dharkanon ke sath Allah ka zikr kiya karo, dil ki aik tik ke sath Allah aur dosri tik ke sath Hoo mila ke parha karo, isi ko Zikr e Qalbi kehte hain take ap bhi Zakir e Qalbi ban saken. 

Post a Comment

0 Comments