Header Notification

Zikr Allah Karna Afzal Tareen Ghanimat Hai!!!

 

Zikr Allah Karna Afzal Tareen Ghanimat Hai, Mola Ali ka Qol, This video is a beautiful motivational video Another good informative video about, Zikr Allah Karna Afzal Tareen Ghanimat Hai. What is Zikr Allah? Mentioning Allah is the best Spoils, says Mola Ali ka Qol. Zikr Allah, pronounced dhikr Allah (dhikr oneself or Zikr), is a ritual prayer practiced by Muslim and Sufi mystics (Sufis) with the aim of glorifying Allah and achieving spiritual perfection. Zikr, parallel thought, is a method a Sufism Sufi saint can use in seeking unity with Allah.

-Mola Ali (as) ka aik mukhtasar sa Qol hai, Zikr karna afzal tareen ghanimat hai, afzal tareen kya hai? afzal tareen Zikr Allah karna hai. Hum arkaan e Islam dekhte hain, Namaz dosra rukan hai, pehla rukan kya hai? pehla rukan hai "Zikr" hai, kalma tayaba ka Zikr, kaha jata hai ke ke Afzal o Zikr, (la ilaha illallah) Is ka Auliya Allah Zikr bhi karte hain, (la ilaha illallah) aur (illallah) aur (Allah Hoo) ka. Hum Juma ka khutba sunte hain, Namaz, Roza, ZaKaat, Hajj, aur end mein kya kaha jata hai, ( Wala Zikr ul Allah u Akbar) ke Allah ka Zikr sab se buland hai. Allah ka zikr sab se buland hai aur Allah ka zikr zamen-o-asman pe bhari hai. Hatake Hazrat Sakhi Sultan Bahoo Rehmatullah Alaih aur faqeer Noor Muhammad Kulachi Rehmatullah Alaih hata ke yahan tak farmate hain ke Zikr ke baghair Namaz hi nahi hoti, unho ne tashreh ki hai, ke ap Namaz parhne se pehle Takbeer shoro karte hain "Allahuakbar" Allahu ka Zikr hai, us ke bad ap Namaz shoro karte hain. Yani ke Allah ka Zikr karna Mohabbat hai, Allah ka Zikr karna Ishq hai, Allah ka Zikr Nafson ko qatal kar deta hai, Allah ka Zikr duniyavi khowahishat ko khatam kar deta hai, Allah ka Zikr hijabat ko khatam kar deta hai, Allah ka Zikr Allah ka Ishq ata karta hai Ishq e Ilahi ata karta hai aur Zikr e Ilahi ata karta hai. Aur ye sab se afsal tareen Ghanimat hai. Mola Ali as se pocha gaya, ke Afzal tareen Doulat kon si hai, To Mola Ali as ne farmaya: Dil ki doulat sab se afzal tareen doulat hai, ke dil ap ka Allah ka Zikr kare, dil ki doulat ye hai ke wo "Khuda" se wasil ho jay, ke ap ke dil ki dharkan Allah ka Zikr Kare is se barh ke aur koi doulat nahi. Aye Mola Ali ke is Farman ki taraf, aye Afzal tareen Zikr ki taraf, aye afzal tareen Ghanimat ki taraf, apne dil ka intakhab kar lein aur apne dil ki dharkanon ko tasbeh bana lein aur is ke sath Allah ka Zikr karen, Aur dil ki dharkanon ke sath Allah ka Zikr karna afzal tareen ghanimat hai aur dil ke dharkan ke sath Allah ka Zikr karne se insan ko Allah ki Mohabbat ata hoti hai is ke sath sath Ishq e Ilahi bhi ata hota hai, to aye apne dilon ko Allah ke Ishq ke abad karin aur apne dilon ko Allah ke Zikr se abad karen. 

Post a Comment

0 Comments