Jo Zikr Allah Karta Hai Wo Falah Pa Jata Hai!!!
Jo Zikr Allah Karta Hai Wo Falah Pa Jata Hai, This video the beautiful motivational video Another good informative video about, Jo Zikr Allah Karta Hai Wo Falah Pa Jata Hai. What Is Zikr Allah Method? Zikr Allah (method) includes the practice of remembrance of the name Ism e zaat Allah, that is, "God". Dhikr is done in the heart so that it does not speak, the mouth remains closed. The Zikr Allah is also interchangeably and widely used in Persian, Zikr Allah is an important aspect of Islam, particularly Sufi saint Islam, or Sufism as it is known in the Islamic world.
Jo Zikr Allah Karta Hai Wo Falah Pa Jata Hai!!!
Aj hum bat karte hain Zikr Allah ke bare mein, jo Zikr Allah karta hai wo falah pa jata hai ye Quran e Pak ka faisla hai. To Allah Taala Quran e Pak mein farmata hai Surah Al-Juma Ayat No 10, mein, Allah ka zikr kasrat se karo take tum Falah pao jao. Tamam Auliya Allah ne ye Bat farmai hai ke insan ki haqeeqi Falah tab hai, Jab Nafs aur Khannas se choukara mil jay. Kyun ke Nafs aur Khannas Haqeeqi buraiyan hain, aur tamam buraiyon ki jurr yehi hai jab tak ye chez insan ke andar rahe gi tab tak insan ke andar fasadat, aur shaitani waswase ate rehte hain aur yehi chezen insan ko burai ki taf le kar jati hain. Zikr Allah ki waja se jab insan ko Nafs aur Khannas se choutkara mil jata hai tu insan Falah pa jata hai. Insan shaitani waswason aur bure khayalat se chourtkara kaise pa sakta hai us ka behtareen zarya "Zikr Allah" hai, yani ke Allah ka Zikr hai Zikr e Qalbi hai kyun ke Qalb ke zarye se hi insan in chezon par kaboo pa lena aur in chezon se choutkara pa leta hai Nafs aur Khannas ko qatal kar deta hai. Quran e Pak ki is Ayat ki tashreeh faqeer Noor Muhammad Kulachi apni tasnef "Irfan" mein karte hain. Ap farmate hain Allah ke Zikr se Zakir ke osaf e amima aur aflaq e Kabiha aur rafta rafta osaf e Hameeda aur akhlas e hassna mein badal jate hain. Hatake malakooti osaf se malamal ho ke Allah taala ke qurb aur wisal ke mushahidon ke qabil ho jata hai Zikr Allah ki waja se. Allah ka Zikr kasrat se karne ki waja se, Allah taala usay apne anwar e dedaar mein jazb kar ke Batin mein apne sath mila leta hai. Allah Taala ki Marfat, Qurb, Wisal ka zarya aur wasila mehz "Zikr" hai. Tamam Azkar mein afzal-o-Zikr, Zikr Ism e Allah Zaat hai. "Allah Allah" karen ya phir "Allah Hoo" karen, ye Ism e Zaat hai, aur ye tamam Azkar ka nichor hai, tamam Zikr ka Badshah hai. Zikr aur Ism e Zaat ki fazilat se Quran e Pak bhara howa hai, aur Zikr Allah ke liye Hadees e Mubarka mein is Zikr ke kalam aur waqyat se Hadeesen bhari pari hain. Jaisa ke Allah taala ne Quran mein farmaya, Surah Al-Imran Ayat No 191, mein, ke Allah ke khas bane hain jo ke usay khare, baithay aur lete howe bhi yad karte hain. Aur 24 ghante Allah ka Zikr karna ye sirf Qalb se hi mumkin hai. To mere aziz dosto koshish kiya karo ke Namaz ke sath sath Zikr Allah bhi kiya karo. Zikr Allah Ka Tarika: Zikr Allah ka tairka ye hain ke apne dil ki dharkanon ke se hi ap ne Allah ka Zikr karne hai dil ki aik tik ke sath "Allah" aur dosri tik ke sath ap ne "Hoo" mila ke parhna hai aur isi tarha se hi ye Zikr karna hai.
0 Comments